Sahir Ludhianvi Poetry

All Time Most Famous Ghazals Of Sahir lukhianvi


All Time Most Famous Ghazals Of Sahir lukhianvi

1- Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to achha
Is raat ki taqdeer sanwar jaye to achha

Jis tarah se thodi si tire saath kati hai
Baaki bhi usi tarah guzar jaye to achha

Duniya ki nigahon mein bhala kya hai bura kya
Yeh bojh agar dil se utar jaye to achha

Waise to tumhi ne mujhe barbaad kiya hai
Ilzaam kisi aur ke sar jaye to achha


2- Chehre pe khushi chha jaati hai, aankhon mein suroor aa jaata hai
Jab tum mujhe apna kehte ho, apne pe ghuroor aa jaata hai

Tum husn ki khud ek duniya ho, shayad yeh tumhe maaloom nahi
Mahfil mein tumhare aane se har cheez pe noor aa jaata hai

Hum paas se tumko kya dekhein, tum jab bhi muqabil hote ho
Betaab nigahon ke aage parda sa zaroor aa jaata hai

Jab tum se mohabbat ki hum ne, tab ja ke kahin yeh raaz khula
Marne ka saleeqa aate hi jeene ka shuoor aa jaata hai


3- Har tarah ke jazbaat ka elaan hain aankhen
Shabnam kabhi shola, kabhi toofan hain aankhen

Aankhon se badi koi tarazoo nahi hoti
Tulta hai bashar jis mein, woh meezan hain aankhen

Aankhen hi milaati hain zamaane mein dilon ko
Anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhen

Lab kuch bhi kahe, is se haqeeqat nahi khulti
Insaan ke sach jhooth ki pehchaan hain aankhen

Aankhen na jhukiin teri kisi gair ke aage
Duniya mein badi cheez meri jaan! hain aankhen


4- Tum apna ranj-o-gham, apni pareshani mujhe de do
Tumhe gham ki qasam, is dil ki veerani mujhe de do

Yeh maana main kisi qabil nahi hoon in nigahon mein
Bura kya hai agar yeh dukh, yeh hairani mujhe de do

Main dekhoon to sahi duniya tumhe kaise satati hai
Koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do

Woh dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya hai
Badi shay hai agar uski pashemani mujhe de do


5- Kabhi khud pe, kabhi haalaat pe rona aaya
Baat nikli to har ek baat pe rona aaya

Hum to samjhe the ki hum bhool gaye hain unko
Kya hua aaj yeh kis baat pe rona aaya

Kis liye jeete hain hum, kis ke liye jeete hain
Baarha aise sawaalaat pe rona aaya

Kaun rota hai kisi aur ki khaatir ai dost
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
------------------------------------------------
1- ये ज़ुल्फ़ अगर खुल के बिखर जाए तो अच्छा
इस रात की तक़दीर सँवर जाए तो अच्छा

जिस तरह से थोड़ी सी तिरे साथ कटी है
बाक़ी भी उसी तरह गुज़र जाए तो अच्छा

दुनिया की निगाहों में भला क्या है बुरा क्या
ये बोझ अगर दिल से उतर जाए तो अच्छा

वैसे तो तुम्हीं ने मुझे बरबाद किया है
इल्ज़ाम किसी और के सर जाए तो अच्छा


2- चेहरे पे ख़ुशी छा जाती है आँखों में सुरूर आ जाता है
जब तुम मुझे अपना कहते हो अपने पे ग़ुरूर आ जाता है

तुम हुस्न की ख़ुद इक दुनिया हो शायद ये तुम्हें मालूम नहीं
महफ़िल में तुम्हारे आने से हर चीज़ पे नूर आ जाता है

हम पास से तुम को क्या देखें तुम जब भी मुक़ाबिल होते हो
बेताब निगाहों के आगे पर्दा सा ज़रूर आ जाता है

जब तुम से मोहब्बत की हम ने तब जा के कहीं ये राज़ खुला
मरने का सलीक़ा आते ही जीने का शुऊ'र आ जाता है


3- हर तरह के जज़्बात का एलान हैं आँखें
शबनम कभी शो'ला कभी तूफ़ान हैं आँखें

आँखों से बड़ी कोई तराज़ू नहीं होती
तुलता है बशर जिस में वो मीज़ान हैं आँखें

आँखें ही मिलाती हैं ज़माने में दिलों को
अंजान हैं हम तुम अगर अंजान हैं आँखें

लब कुछ भी कहें इस से हक़ीक़त नहीं खुलती
इंसान के सच झूट की पहचान हैं आँखें

आँखें न झुकीं तेरी किसी ग़ैर के आगे
दुनिया में बड़ी चीज़ मिरी जान! हैं आँखें


4- तुम अपना रंज-ओ-ग़म अपनी परेशानी मुझे दे दो
तुम्हें ग़म की क़सम इस दिल की वीरानी मुझे दे दो

ये माना मैं किसी क़ाबिल नहीं हूँ इन निगाहों में
बुरा क्या है अगर ये दुख ये हैरानी मुझे दे दो

मैं देखूँ तो सही दुनिया तुम्हें कैसे सताती है
कोई दिन के लिए अपनी निगहबानी मुझे दे दो

वो दिल जो मैं ने माँगा था मगर ग़ैरों ने पाया है
बड़ी शय है अगर उस की पशेमानी मुझे दे दो


5- कभी ख़ुद पे कभी हालात पे रोना आया
बात निकली तो हर इक बात पे रोना आया

हम तो समझे थे कि हम भूल गए हैं उन को
क्या हुआ आज ये किस बात पे रोना आया

किस लिए जीते हैं हम किस के लिए जीते हैं
बारहा ऐसे सवालात पे रोना आया

कौन रोता है किसी और की ख़ातिर ऐ दोस्त
सब को अपनी ही किसी बात पे रोना आया





Poet - Sahir Ludhianvi
Location: Ludhiana, India
Views: 4