Bashir Badr Poetry

Yoonhi be-sabab na phira karo, koi shaam ghar mein raha karo


Yoonhi be-sabab na phira karo, koi shaam ghar mein raha karo

यूँही बे-सबब न फिरा करो कोई शाम घर में रहा करो
वो ग़ज़ल की सच्ची किताब है उसे चुपके चुपके पढ़ा करो

कोई हाथ भी न मिलाएगा जो गले मिलोगे तपाक से
ये नए मिज़ाज का शहर है ज़रा फ़ासले से मिला करो

अभी राह में कई मोड़ हैं कोई आएगा कोई जाएगा
तुम्हें जिस ने दिल से भुला दिया उसे भूलने की दुआ करो

मुझे इश्तिहार सी लगती हैं ये मोहब्बतों की कहानियाँ
जो कहा नहीं वो सुना करो जो सुना नहीं वो कहा करो

कभी हुस्न-ए-पर्दा-नशीं भी हो ज़रा आशिक़ाना लिबास में
जो मैं बन सँवर के कहीं चलूँ मिरे साथ तुम भी चला करो

नहीं बे-हिजाब वो चाँद सा कि नज़र का कोई असर न हो
उसे इतनी गर्मी-ए-शौक़ से बड़ी देर तक न तका करो

ये ख़िज़ाँ की ज़र्द सी शाल में जो उदास पेड़ के पास है
ये तुम्हारे घर की बहार है उसे आँसुओं से हरा करो

---------------------------------------------------------------------

Yoonhi be-sabab na phira karo, koi shaam ghar mein raha karo
Woh ghazal ki sacchi kitaab hai, use chupke chupke padhā karo

Koi haath bhi na milāega, jo gale miloge tapak se
Yeh naye mizaj ka shahar hai, zara faasle se mila karo

Abhi raah mein kai mod hain, koi aayega, koi jaayega
Tumhein jisne dil se bhula diya, use bhoolne ki dua karo

Mujhe ishtihaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyaan
Jo kaha nahi, woh suna karo, jo suna nahi, woh kaha karo

Kabhi husn-e-parda-nasheen bhi ho, zara aashiqana libas mein
Jo main ban sanwar ke kahin chaloon, mere saath tum bhi chala karo

Nahin be-hijaab woh chaand sa ki nazar ka koi asar na ho
Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na takaa karo

Yeh khizaan ki zard si shaawl mein jo udaas ped ke paas hai
Yeh tumhare ghar ki bahaar hai, use aansuon se hara karo
    


Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 1148