ab aayein ya na aayein idhar poochte chalo.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 ab aayein ya na aayein idhar poochte chalokya chahti hai un ki nazar poochte chaloham se agar hai tark-e-taalluq to kya huayaaro koi to un ki khabar poochte chalojo khud ko kah rahe hain ki manzil-shanaas hainun ko bhi kya khabar hai magar poochte chalokis manzil-e-muraad ki jaanib ravaan hain hamai rah-ravaan-e-khaak-basar poochte chalo ----------------------------------------------अब आएँ या न आएँ इधर पूछते चलोक्या चाहती है उन की नज़र पूछते चलोहम से अगर है तर्क-ए-तअल्लुक़ तो क्या हुआयारो कोई तो उन की ख़बर पूछते चलोजो ख़ुद को कह रहे हैं कि मंज़िल-शनास हैंउन को भी क्या ख़बर है मगर पूछते चलोकिस मंज़िल-ए-मुराद की जानिब रवाँ हैं हमऐ रह-रवान-ए-ख़ाक-बसर पूछते चलो Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahin.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahinmain muntazir hoon magar tera intizaar nahinhumeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaarhumeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahinabhi na chhed mohabbat ke geet ai mutaribabhi hayaat ka maahol khush-gawaar nahintumhaare ahad-e-wafaa ko main ahad kya samjhoonmujhe khud apni mohabbat pe e'tibaar nahinna jaane kitne gile is mein muztarib hain nadeemvo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahingurez ka nahin qaail hayaat se lekinjo sach kahoon ki mujhe maut naagawaar nahinye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane neki ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahin -----------------------------------हवस-नसीब नज़र को कहीं क़रार नहींमैं मुंतज़िर हूँ मगर तेरा इंतिज़ार नहींहमीं से रंग-ए-गुलिस्ताँ हमीं से रंग-ए-बहारहमीं को नज़्म-ए-गुलिस्ताँ पे इख़्तियार नहींअभी न छेड़ मोहब्बत के गीत ऐ मुतरिबअभी हयात का माहौल ख़ुश-गवार नहींतुम्हारे अहद-ए-वफ़ा को मैं अहद क्या समझूँमुझे ख़ुद अपनी मोहब्बत पे ए'तिबार नहींन जाने कितने गिले इस में मुज़्तरिब हैं नदीमवो एक दिल जो किसी का गिला-गुज़ार नहींगुरेज़ का नहीं क़ाइल हयात से लेकिनजो सच कहूँ कि मुझे मौत नागवार नहींये किस मक़ाम पे पहुँचा दिया ज़माने नेकि अब हयात पे तेरा भी इख़्तियार नहीं Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaungatera vaada to nahin hoon jo badal jaaungasoz bhar do mere sapne mein gham-e-ulfat kamain koi mom nahin hoon jo pighal jaaungadard kehta hai ye ghabra ke shab-e-furqat meinaah ban kar tire pahluu se nikal jaaungamujh ko samjhaao na saahir main ik din khud hithokren kha ke mohabbat mein sambhal jaaunga --------------------------------------------------मेरी तक़दीर में जलना है तो जल जाऊँगातेरा वादा तो नहीं हूँ जो बदल जाऊँगासोज़ भर दो मिरे सपने में ग़म-ए-उल्फ़त कामैं कोई मोम नहीं हूँ जो पिघल जाऊँगादर्द कहता है ये घबरा के शब-ए-फ़ुर्क़त मेंआह बन कर तिरे पहलू से निकल जाऊँगामुझ को समझाओ न 'साहिर' मैं इक दिन ख़ुद हीठोकरें खा के मोहब्बत में सँभल जाऊँगा Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
itni haseen itni jawaan raat kya karein.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 itni haseen itni jawaan raat kya kareinjaage hain kuchh ajeeb se jazbaat kya kareinpedon ke baazuon mein mehkati hai chaandnibechain ho rahe hain khayaalaat kya kareinsaanson mein ghul rahi hai kisi saans ki mahakdaaman ko choo raha hai koi haath kya kareinshaayad tumhaare aane se ye bhed khul sakehairaan hain ki aaj nayi baat kya karein -------------------------------------इतनी हसीन इतनी जवाँ रात क्या करेंजागे हैं कुछ अजीब से जज़्बात क्या करेंपेड़ों के बाज़ुओं में महकती है चाँदनीबेचैन हो रहे हैं ख़यालात क्या करेंसाँसों में घुल रही है किसी साँस की महकदामन को छू रहा है कोई हात क्या करेंशायद तुम्हारे आने से ये भेद खुल सकेहैरान हैं कि आज नई बात क्या करें Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
jurm-e-ulfat pe hamein log saza dete hain.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 jurm-e-ulfat pe hamein log saza dete hainkaise naadaan hain sholon ko hawa dete hainham se deewane kahi tark-e-wafa karte hainjaan jaaye ki rahe baat nibha dete hainaap daulat ke taraazu mein dilon ko tauleinham mohabbat se mohabbat ka sila dete haintakht kya cheez hai aur laal-o-jawaahar kya hainishq waale to khudaai bhi luta dete hainham ne dil de bhi diya ahad-e-wafaa le bhi liyaaap ab shauq se de len jo saza dete hain -----------------------------------जुर्म-ए-उल्फ़त पे हमें लोग सज़ा देते हैंकैसे नादान हैं शोलों को हवा देते हैंहम से दीवाने कहीं तर्क-ए-वफ़ा करते हैंजान जाए कि रहे बात निभा देते हैंआप दौलत के तराज़ू में दिलों को तौलेंहम मोहब्बत से मोहब्बत का सिला देते हैंतख़्त क्या चीज़ है और लाल-ओ-जवाहर क्या हैंइश्क़ वाले तो ख़ुदाई भी लुटा देते हैंहम ने दिल दे भी दिया अहद-ए-वफ़ा ले भी लियाआप अब शौक़ से दे लें जो सज़ा देते हैं Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 sansaar ki har shay ka itna hi fasana haiik dhund se aana hai ik dhund mein jaana haiye raah kahaan se hai ye raah kahaan tak haiye raaz koi raahi samjha hai na jaana haiik pal ki palak par hai thehri hui ye duniyaik pal ke jhapakne tak har khel suhaana haikya jaane koi kis par kis mod par kya beeteis raah mein ai raahi har mod bahaana haiham log khilauna hain ik aise khilaadi kajis ko abhi sadiyon tak ye khel rachaana hai ------------------------------------संसार की हर शय का इतना ही फ़साना हैइक धुँद से आना है इक धुँद में जाना हैये राह कहाँ से है ये राह कहाँ तक हैये राज़ कोई राही समझा है न जाना हैइक पल की पलक पर है ठहरी हुई ये दुनियाइक पल के झपकने तक हर खेल सुहाना हैक्या जाने कोई किस पर किस मोड़ पर क्या बीतेइस राह में ऐ राही हर मोड़ बहाना हैहम लोग खिलौना हैं इक ऐसे खिलाड़ी काजिस को अभी सदियों तक ये खेल रचाना है Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
sadiyon se insaan ye sunta aaya hai.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 sadiyon se insaan ye sunta aaya haidukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya haiham ko in sasti khushiyon ka lobh na doham ne soch samajh kar gham apnaaya haijhooth to qaateel thehra is ka kya ronasach ne bhi insaan ka khun bahaaya haipaidaish ke din se maut ki zad mein hainis maqtal mein kaun hamein le aaya haiawwal awwal jis dil ne barbaad kiyaaakhir aakhir vo dil hi kaam aaya haiitne din ehsaan kiya deewaanon parjitne din logon ne saath nibhaaya hai --------------------------------सदियों से इंसान ये सुनता आया हैदुख की धूप के आगे सुख का साया हैहम को इन सस्ती ख़ुशियों का लोभ न दोहम ने सोच समझ कर ग़म अपनाया हैझूट तो क़ातिल ठहरा इस का क्या रोनासच ने भी इंसाँ का ख़ूँ बहाया हैपैदाइश के दिन से मौत की ज़द में हैंइस मक़्तल में कौन हमें ले आया हैअव्वल अव्वल जिस दिल ने बर्बाद कियाआख़िर आख़िर वो दिल ही काम आया हैइतने दिन एहसान किया दीवानों परजितने दिन लोगों ने साथ निभाया है Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karein.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 saza ka haal sunaayein jazaa ki baat kareinkhuda mila ho jinhen vo khuda ki baat kareinunhen pata bhi chale aur vo khafa bhi na honis ehtiyaat se kya muddaa ki baat kareinhamaare ahad ki tahzeeb mein qaba hi nahinagar qaba ho to band-e-qaba ki baat kareinhar ek daur ka mazhab naya khuda laayakarein to ham bhi magar kis khuda ki baat kareinwafa-shiaar kai hain koi haseen bhi to hochalo phir aaj usi bewafa ki baat karein -------------------------------------सज़ा का हाल सुनाएँ जज़ा की बात करेंख़ुदा मिला हो जिन्हें वो ख़ुदा की बात करेंउन्हें पता भी चले और वो ख़फ़ा भी न होंइस एहतियात से क्या मुद्दआ की बात करेंहमारे अहद की तहज़ीब में क़बा ही नहींअगर क़बा हो तो बंद-ए-क़बा की बात करेंहर एक दौर का मज़हब नया ख़ुदा लायाकरें तो हम भी मगर किस ख़ुदा की बात करेंवफ़ा-शिआर कई हैं कोई हसीं भी तो होचलो फिर आज उसी बेवफ़ा की बात करें Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
fan jo nadaar tak nahin pahuncha.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 fan jo nadaar tak nahin pahunchaabhi meyaar tak nahin pahunchaus ne bar-waqt be-rukhi bartishauq aazaar tak nahin pahunchaaks-e-may ho ki jalwa-e-gul horang-e-rukhsaar tak nahin pahunchaharf-e-inkaar sar buland rahazoof-e-iqraar tak nahin pahunchahukm-e-sarkaar kii pahunch mat poochahl-e-sarkaar tak nahin pahunchaadl-gaahen to door kii shay hainqatl akhbaar tak nahin pahunchainqilaabaat-e-dahr kii buniyaadhaq jo haqdaar tak nahin pahunchavo maseeha-nafs nahin jis kasilsila-daar tak nahin pahuncha --------------------------------फ़न जो नादार तक नहीं पहुँचाअभी मेयार तक नहीं पहुँचाउस ने बर-वक़्त बे-रुख़ी बरतीशौक़ आज़ार तक नहीं पहुँचाअक्स-ए-मय हो कि जल्वा-ए-गुल होरंग-ए-रुख़्सार तक नहीं पहुँचाहर्फ़-ए-इंकार सर बुलंद रहाज़ोफ़-ए-इक़रार तक नहीं पहुँचाहुक्म-ए-सरकार की पहुँच मत पूछअहल-ए-सरकार तक नहीं पहुँचाअद्ल-गाहें तो दूर की शय हैंक़त्ल अख़बार तक नहीं पहुँचाइन्क़िलाबात-ए-दहर की बुनियादहक़ जो हक़दार तक नहीं पहुँचावो मसीहा-नफ़स नहीं जिस कासिलसिला-दार तक नहीं पहुँचा Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
ponch kar ashk apni aankhon se muskuraao to koii baat bane.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 ponch kar ashk apni aankhon se muskuraao to koii baat banesar jhukaane se kuchh nahin hota sar uthao to koii baat banezindagi bheek mein nahin milti zindagi badh ke cheeni jaati haiapna haq sang-dil zamaane se cheen paao to koii baat banerang aur nasl zaat aur mazhab jo bhi hai aadmi se kamtar haiis haqeeqat ko tum bhi meri tarah maan jaao to koii baat banenafratoin ke jahaan mein ham ko pyaar kii bastiyaan basaani haindoor rahna koii kamaal nahin paas aao to koii baat bane --------------------------------------------------पोंछ कर अश्क अपनी आँखों से मुस्कुराओ तो कोई बात बनेसर झुकाने से कुछ नहीं होता सर उठाओ तो कोई बात बनेज़िन्दगी भीक में नहीं मिलती ज़िन्दगी बढ़ के छीनी जाती हैअपना हक़ संग-दिल ज़माने से छीन पाओ तो कोई बात बनेरंग और नस्ल ज़ात और मज़हब जो भी है आदमी से कमतर हैइस हक़ीक़त को तुम भी मेरी तरह मान जाओ तो कोई बात बनेनफ़रतों के जहान में हम को प्यार की बस्तियाँ बसानी हैंदूर रहना कोई कमाल नहीं पास आओ तो कोई बात बने Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan