Faiz Ahmed Faiz Poetry

Phir koi aayaa dil-e-zaar Nahin koi nahin


Phir koi aayaa dil-e-zaar Nahin koi nahin

फिर कोई आया दिल-ए-ज़ार नहीं कोई नहीं
राह-रौ होगा कहीं और चला जाएगा
ढल चुकी रात बिखरने लगा तारों का ग़ुबार
लड़खड़ाने लगे ऐवानों में ख़्वाबीदा चराग़
सो गई रास्ता तक तक के हर इक राहगुज़ार
अजनबी ख़ाक ने धुँदला दिए क़दमों के सुराग़
गुल करो शमएँ बढ़ा दो मय ओ मीना ओ अयाग़
अपने बे-ख़्वाब किवाड़ों को मुक़फ़्फ़ल कर लो
अब यहाँ कोई नहीं कोई नहीं आएगा

----------------------------------------------

Phir koi aayaa, dil-e-zaar! Nahin, koi nahin
Rah’ro hoga, kahin aur chalaa jaayegaa
Dhal chuki raat, bikharne lagaa taaron ka ghubaar
Ladkhadaane lage aiwaanon mein khwabda chiraag
So gayee raastaa tak tak ke har ik rahguzaar
Ajnabi khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraagh
Gul karo shammein! Badhaa do mai-o-meena-o-ayaagh
Apne bekhwaab kiwaadon ko muqaffal kar lo
Ab yahaan koi nahin, koi nahin aayega


Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 1055