Zafar Iqbal Poetry

Top 20 most famous Shayari of zafar iqbal


Top 20 most famous Shayari of zafar iqbal

1- Mujhe kharaab kiya usne, haan kiya hoga,
Ussi se poochhiye, mujhko khabar zyada nahi.

2- Woh qahar tha ki raat ka patthar pighal pada,
Kya aatishi gulab khila aasman par.

3- Safar peeche ki jaanib hai, qadam aage hai mera,
Main boodha hota jaata hoon jawaan hone ki khaatir.

4- Badan ka saara lahoo khinch ke aa gaya rukh par,
Woh ek bosa humein de ke surkh-roo hai bahut.

5- Woh bahut chaalaak hai lekin agar himmat karein,
Pehla pehla jhoot hai, usko yaqeen aa jayega.

6- Maut ke saath hui hai meri shaadi, so 'Zafar,'
Umr ke aakhiri lamhaat mein dulha hua main.

7- Tujh ko meri, na mujhe teri khabar jayegi,
Eid ab ke bhi dabe paanv guzar jayegi.

8- Khuda ko maan, ki tujh lab ke choomne ke siwa,
Koi ilaaj nahi aaj ki udaasi ka.

9- Ab ke is bazm mein kuchh apna pata bhi dena,
Paanv par paanv jo rakhna, toh daba bhi dena.

10- Jo yahan khud hi laga rakhi hai chaaron jaanib,
Ek din hum ne isi aag mein jal jaana hai.

11- Chehre se jhaad pichhle baras ki kuduratein,
Deewar se purana calendar utaar de.

12- Thakna bhi laazmi tha, kuchh kaam karte karte,
Kuch aur thak gaya hoon, aaraam karte karte.

13- Bas ek baar kisi ne gale lagaya tha,
Phir us ke baad, na main tha, na mera saaya tha.

14- Thakna bhi laazmi tha, kuchh kaam karte karte,
Kuch aur thak gaya hoon, aaraam karte karte.

15- Us ek dasht mein sau sheher ho gaye aabaad,
Jahan kisi ne kabhi karwaan lutaya tha.

16- Mere wajood se gulzaar ho ke nikli hai,
Woh aag jisne tera pairahan jalaya tha.

17- ‘Zafar’ ki khaak mein hai kis ki hasrat-e-taameer,
Khayaal-o-khwaab mein kisne yeh ghar banaya tha.

18- Yeh umr thi hi aisi, jaisi guzaar di hai,
Badnaam hote hote, badnaam karte karte.

19- Kuchh be-khabar nahi the jo jaante hain mujhko,
Main kooch kar raha tha, bisraam karte karte.

20- Aakhir 'Zafar,' hua hoon manzar se khud hi ghaaib,
Usloob-e-khaas apna, main aam karte karte.
--------------------------------------------
1- मुझे ख़राब किया उस ने हाँ किया होगा
उसी से पूछिए मुझ को ख़बर ज़ियादा नहीं

2- वो क़हर था कि रात का पत्थर पिघल पड़ा
क्या आतिशीं गुलाब खिला आसमान पर

3- सफ़र पीछे की जानिब है क़दम आगे है मेरा
मैं बूढ़ा होता जाता हूँ जवाँ होने की ख़ातिर

4- बदन का सारा लहू खिंच के आ गया रुख़ पर
वो एक बोसा हमें दे के सुर्ख़-रू है बहुत

5- वो बहुत चालाक है लेकिन अगर हिम्मत करें
पहला पहला झूट है उस को यक़ीं आ जाएगा

6- मौत के साथ हुई है मिरी शादी सो 'ज़फ़र'
उम्र के आख़िरी लम्हात में दूल्हा हुआ मैं

7- तुझ को मेरी न मुझे तेरी ख़बर जाएगी
ईद अब के भी दबे पाँव गुज़र जाएगी

8- ख़ुदा को मान कि तुझ लब के चूमने के सिवा
कोई इलाज नहीं आज की उदासी का

9- अब के इस बज़्म में कुछ अपना पता भी देना
पाँव पर पाँव जो रखना तो दबा भी देना

10- जो यहां ख़ुद ही लगा रक्खी है चारों जानिब
एक दिन हम ने इसी आग में जल जाना है

11- चेहरे से झाड़ पिछले बरस की कुदूरतें
दीवार से पुराना कैलन्डर उतार दे

12- थकना भी लाज़मी था कुछ काम करते करते
कुछ और थक गया हूँ आराम करते करते

13- बस एक बार किसी ने गले लगाया था
फिर उस के बा'द न मैं था न मेरा साया था

14- थकना भी लाज़मी था कुछ काम करते करते
कुछ और थक गया हूँ आराम करते करते

15- उस एक दश्त में सौ शहर हो गए आबाद
जहाँ किसी ने कभी कारवाँ लुटाया था

16- मिरे वजूद से गुलज़ार हो के निकली है
वो आग जिस ने तिरा पैरहन जलाया था

17- ज़फ़र' की ख़ाक में है किस की हसरत-ए-तामीर
ख़याल-ओ-ख़्वाब में किस ने ये घर बनाया था

18- ये उम्र थी ही ऐसी जैसी गुज़ार दी है
बदनाम होते होते बदनाम करते करते

19- कुछ बे-ख़बर नहीं थे जो जानते हैं मुझ को
मैं कूच कर रहा था बिसराम करते करते

20- आख़िर 'ज़फ़र' हुआ हूँ मंज़र से ख़ुद ही ग़ाएब
उस्लूब-ए-ख़ास अपना मैं आम करते करते

Poet - Zafar Iqbal
Location: Okara, Punjab, Pakistan
Views: 71