1- Tu yaad aaya tere jor-o-sitam lekin na yaad aaye,
Mohabbat mein yeh ma'soomi badi mushkil se aati hai.
2- Khair sach to hai sach magar ai jhoot,
Maine tera bhi aitbaar kiya.
3- Dilon ko tere tabassum ki yaad yun aayi,
Ke jagmaga uthain jis tarah mandiron mein chiraagh.
4- Main hoon, dil hai, tanhai hai,
Tum bhi hote accha hota.
5- Woh raaton-raat 'Siri-Krishna' ko uthaye hue,
Bala ki qaid se 'Basdev' ka nikal jaana.
6- Bijli ki tarah lachak rahe hain lachhe,
Bhai ke hai bandhi chamakti rakhi.
7- Na koi wa'ada, na koi yaqeen, na koi umeed,
Magar humein to tera intezaar karna tha.
8- Khush bhi ho lete hain tere be-qarar,
Gham hi gham ho ishq mein aisa nahi.
9- Maut ka bhi ilaaj ho shaayad,
Zindagi ka koi ilaaj nahi.
10- Lahu watan ke shaheedo ka rang laaya hai,
Uchal raha hai zamaane mein naam-e-azaadi.
11- Sar-zameen-e-Hind par aqwaam-e-aalam ke 'Firaq',
Qafile baste gaye Hindostan banta gaya.
12- Shaamain kisi ko maangti hain aaj bhi 'Firaq',
Go zindagi mein yun mujhe koi kami nahi.
13- Are sayyad humein gul hain humein bulbul hain,
Tu ne kuch aah suna bhi nahi dekha bhi nahi.
14- Devtaon ka Khuda se hoga kaam,
Aadmi ko aadmi darkaar hai.
15- Rone ko to zindagi padi hai,
Kuch tere sitam pe muskuralein.
16- Main der tak tujhe khud hi na rokta lekin,
Tu jis ada se uthaa hai usi ka rona hai.
17- Kho diya tumko to hum poochhte phirte hain yahi,
Jis ki taqdeer bigad jaye woh karta kya hai.
18- Koi aaya na aayega lekin,
Kya karein gar na intezaar karein.
19- Dekho raftaar-e-inkilaab 'Firaq',
Kitni aahista aur kitni tez.
20- Kami na ki tere wahshi ne khaak udaane mein,
Junoon ka naam uchhalta raha zamaane mein.
-------------------------------------------------
1- तू याद आया तेरे जौर-ओ-सितम लेकिन न याद आए
मोहब्बत में ये मा'सूमी बड़ी मुश्किल से आती है
2- ख़ैर सच तो है सच मगर ऐ झूठ
मैंने तेरा भी एतिबार किया
3- दिलों को तेरे तबस्सुम की याद यूँ आई
कि जगमगा उठें जिस तरह मंदिरों में चराग़
4- मैं हूँ दिल है तन्हाई है
तुम भी होते अच्छा होता
5- वो रातों-रात 'सिरी-कृष्ण' को उठाए हुए
बला की क़ैद से 'बसदेव' का निकल जाना
6- बिजली की तरह लचक रहे हैं लच्छे
भाई के है बांधी चमकती राखी
7- न कोई वा'दा न कोई यक़ीं न कोई उमीद
मगर हमें तो तिरा इंतिज़ार करना था
8- ख़ुश भी हो लेते हैं तेरे बे-क़रार
ग़म ही ग़म हो इश्क़ में ऐसा नहीं
9- मौत का भी इलाज हो शायद
ज़िंदगी का कोई इलाज नहीं
10- लहू वतन के शहीदों का रंग लाया है
उछल रहा है ज़माने में नाम-ए-आज़ादी
11- सर-ज़मीन-ए-हिंद पर अक़्वाम-ए-आलम के 'फ़िराक़'
क़ाफ़िले बसते गए हिन्दोस्ताँ बनता गया
12- शामें किसी को माँगती हैं आज भी 'फ़िराक़'
गो ज़िंदगी में यूँ मुझे कोई कमी नहीं
13- अरे सय्याद हमीं गुल हैं हमीं बुलबुल हैं
तू ने कुछ आह सुना भी नहीं देखा भी नहीं
14- देवताओं का ख़ुदा से होगा काम
आदमी को आदमी दरकार है
15- रोने को तो ज़िंदगी पड़ी है
कुछ तेरे सितम पे मुस्कुरा लें
16- मैं देर तक तुझे ख़ुद ही न रोकता लेकिन
तू जिस अदा से उठा है उसी का रोना है
17- खो दिया तुम को तो हम पूछते फिरते हैं यही
जिस की तक़दीर बिगड़ जाए वो करता क्या है
18- कोई आया न आएगा लेकिन
क्या करें गर न इंतिज़ार करें
19- देख रफ़्तार-ए-इंक़लाब 'फ़िराक़'
कितनी आहिस्ता और कितनी तेज़
20- कमी न की तिरे वहशी ने ख़ाक उड़ाने में
जुनूँ का नाम उछलता रहा ज़माने में