Daagh Dehlvi Poetry

Top 20 most famous Shayari of daagh dehlvi


Top 20 most famous Shayari of daagh dehlvi

1- Khuda rakhay mohabbat ne kiye aabaad dono ghar,
Main unke dil mein rehta hoon, woh mere dil mein rehte hain.

2- Na jaana ki duniya se jaata hai koi,
Bohat der ki mehrbaan aate aate.

3- Sab log jidhur woh hain udhar dekh rahe hain,
Hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain.

4- Hum bhi kya zindagi guzar gaye,
Dil ki baazi laga ke haar gaye.

5- Yeh toh kahiye is khata ki kya saza,
Main jo keh doon aap par marta hoon main.

6- Tumhare khat mein naya ik salaam kiska tha,
Na tha raqeeb toh aakhir woh naam kiska tha.

7- Jali hain dhoop mein shaklein jo mahtab ki thin,
Khinchi hain kaanton pe jo pattiyan gulab ki thin.

8- Sau chaand bhi chamkenge toh kya baat banegi,
Tum aaye toh is raat ki aukat banegi.

9- Aap ka aitibar kaun kare,
Roz ka intezaar kaun kare.

10- Ghazab kiya tire waade pe aitibar kiya,
Tamaam raat qayamat ka intezaar kiya.

11- Zid har ik baat par nahi achi,
Dost ki dost maan lete hain.

12- Kehne deti nahi kuch muhn se mohabbat meri,
Lab pe reh jaati hai aa aa ke shikayat meri.

13- Khatir se ya lihaaz se, main maan toh gaya,
Jhoothi qasam se, aapka imaan toh gaya.

14- Is nahi ka koi ilaaj nahi,
Roz kehte hain aap aaj nahi.

15- Jab aankhon mein lagaata hoon toh chupke-chupke hans-hanskar,
Teri tasveer bhi kehati hai, soorat aisi hoti hai.

16- Humein didaar se marhoom rakhkar hai nazar dil par,
Paraya maal taako aur daulat apni rehne do.

17- Maysar humein khwaab-o-raahat kahaan,
Zara aankh jhapki sahar ho gayi.

18- Ae "Daag", bura maan na tu uske kahe ka,
Mashook ki gaali se toh izzat nahi jaati.

19- Hum toh us aankh ke hain dekhne waale, dekho,
Jismein shokhi hai bohot aur haya thodi si.

20- Mere fasane ko sun sun ke neend udti hai,
Duaen mujhko tere paasban dete hain.
----------------------------------------------
1- ख़ुदा रक्खे मोहब्बत ने किए आबाद दोनों घर
मैं उन के दिल में रहता हूँ वो मेरे दिल में रहते हैं

2- न जाना कि दुनिया से जाता है कोई
बहुत देर की मेहरबाँ आते आते

3- सब लोग जिधर वो हैं उधर देख रहे हैं
हम देखने वालों की नज़र देख रहे हैं

4- हम भी क्या ज़िंदगी गुज़ार गए
दिल की बाज़ी लगा के हार गए

5- ये तो कहिए इस ख़ता की क्या सज़ा
मैं जो कह दूँ आप पर मरता हूँ मैं

6- तुम्हारे ख़त में नया इक सलाम किसका था
न था रक़ीब तो आख़िर वो नाम किसका था

7- जली हैं धूप में शक्लें जो माहताब की थीं
खिंची हैं काँटों पे जो पत्तियाँ गुलाब की थीं

8- सौ चाँद भी चमकेंगे तो क्या बात बनेगी
तुम आए तो इस रात की औक़ात बनेगी

9- आप का ए'तिबार कौन करे
रोज़ का इंतिज़ार कौन करे

10- ग़ज़ब किया तिरे वअ'दे पे ए'तिबार किया
तमाम रात क़यामत का इंतिज़ार किया

11- ज़िद हर इक बात पर नहीं अच्छी
दोस्त की दोस्त मान लेते हैं

12- कहने देती नहीं कुछ मुँह से मोहब्बत मेरी
लब पे रह जाती है आ आ के शिकायत मेरी

13- ख़ातिर से या लिहाज़ से, मैं मान तो गया
झूठी क़सम से, आपका ईमान तो गया

14- इस नहीं का कोई इलाज नहीं
रोज़ कहते हैं आप आज नहीं

15- जब आँखों में लगाता हूँ तो चुपके-चुपके हंस-हंसकर
तेरी तस्वीर भी कहती है, सूरत ऐसी होती है

16- हमें दीदार से मरहूम रखकर है नज़र दिल पर
पराया माल ताको और दौलत अपनी रहने दो

17- मयस्सर हमें ख़्वाब-ओ-राहत कहाँ
ज़रा आँख झपकी सहर हो गई

18- ऐ "दाग़" बुरा मान ना तू उसके कहे का
माशूक की गाली से तो इज़्ज़त नहीं जाती

19- हम तो उस आंख के हैं देखने वाले, देखो
जिसमें शोख़ी है बहुत और हया थोड़ी सी

20- मेरे फसाने को सुन सुन के नींद उड़ती है
दुआएँ मुझको तेरे पासबान देते हैं


Poet - Daagh Dehlvi
Location: Old Delhi, India
Views: 195