Abbas Tabish Poetry

Top 20 most famous Shayari of Abbas Tabish


Top 20 most famous Shayari of Abbas Tabish

1- tohmat utaar phenki labaada badal liya
khud ko zaruraton se ziyaada badal liya

2- Kya tamaasha hai ki sab mujhko bura kahte hain,
Aur sab chahte hain meri tarah ka hona.

3- Ek muddat se meri maa nahi soi 'Tabish',
Main ne ik baar kaha tha mujhe dar lagta hai.

4- Yeh jo hai phool hatheli pe, isey phool na jaan,
Mera dil jism se bahar bhi toh ho sakta hai.

5- Main apne baad bohot yaad aaya karta hoon,
Tum apne paas na rakhna koi nishani meri.

6- Sunhari ladkiyon, inko milo milo na milo,
Gareeb hote hain bas khwaab dekhne ke liye.

7- Dekh kaise dhul gaye hain giriya-o-zaari ke baad,
Aasmaan baarish ke baad aur main azadari ke baad.

8- Yaar ik baar parindon ko hukoomat de do,
Yeh kisi sheher ko maqtal nahi hone denge.

9- Main tere baad koi tere jaisa dhoondhta hoon,
Jo bewafaai kare aur bewafa na lage.

10- Chalta rehne do miyaan silsila dildari ka,
Aashiqi deen nahi hai ki mukammal ho jaye.

11- Muddat ke baad khwaab mein aaya tha mera baap,
Aur usne mujhse itna kaha, khush raha karo.

12- Aadat se uske liye phool khareede warna,
Nahi maloom woh is baar yahaan hai ki nahi.

13- Hum hain sukhe hue talab pe baithe hue hans,
Jo taalluq ko nibhaate hue mar jaate hain.

14- Main ne poocha tha ki izhaar nahi ho sakta,
Dil pukara ki khabar-daar nahi ho sakta.

15- Yeh mohabbat ki kahani nahi marti lekin,
Log kirdaar nibhaate hue mar jaate hain.

16- Shayad kisi bala ka tha saaya darakht par,
Chidiyon ne raat shor machaya darakht par.

17- Paanv padta hua rasta nahi dekha jaata,
Jaane waale tera jaana nahi dekha jaata.

18- Main apne aap mein gehra utar gaya shaayad,
Mere safar se alag ho gayi rawani meri.

19- Maine aankhon ke kinare bhi na tar hone diye,
Jis taraf se aaya tha sailaab wapas kar diya.

20- Bohat bekaar mausam hai lekin kuch kaam karna hai,
Ki taaza zakhm milne tak purana zakhm bharna hai.
-------------------------------------------------------
1-तोहमत उतार फेंकी लबादा बदल लिया
ख़ुद को ज़रूरतों से ज़ियादा बदल लिया

2- क्या तमाशा है कि सब मुझको बुरा कहते हैं
और सब चाहते हैं मेरी तरह का होना

3- एक मुद्दत से मिरी माँ नहीं सोई 'ताबिश'
मैं ने इक बार कहा था मुझे डर लगता है

4- ये जो है फूल हथेली पे इसे फूल न जान
मेरा दिल जिस्म से बाहर भी तो हो सकता है

5- मैं अपने बाद बहुत याद आया करता हूँ
तुम अपने पास न रखना कोई निशानी मेरी

6- सुनहरी लड़कियों इनको मिलो मिलो न मिलो
ग़रीब होते हैं बस ख़्वाब देखने के लिए

7- देख कैसे धुल गए है गिर्या-ओ-ज़ारी के बाद
आसमाँ बारिश के बाद और मैं अज़ादारी के बाद

8- यार इक बार परिंदों को हुकूमत दे दो
ये किसी शहर को मक़्तल नहीं होने देंगे

9- मैं तेरे बाद कोई तेरे जैसा ढूँढता हूँ
जो बेवफ़ाई करे और बेवफ़ा न लगे

10- चलता रहने दो मियाँ सिलसिला दिलदारी का
आशिक़ी दीन नहीं है कि मुकम्मल हो जाए

11- मुद्दत के बाद ख़्वाब में आया था मेरा बाप
और उसने मुझसे इतना कहा ख़ुश रहा करो

12- आदतन उसके लिए फूल ख़रीदे वरना
नहीं मालूम वो इस बार यहाँ है कि नहीं

13- हम हैं सूखे हुए तालाब पे बैठे हुए हंस
जो तअ'ल्लुक़ को निभाते हुए मर जाते हैं

14- मैं ने पूछा था कि इज़हार नहीं हो सकता
दिल पुकारा कि ख़बर-दार नहीं हो सकता

15- ये मोहब्बत की कहानी नहीं मरती लेकिन
लोग किरदार निभाते हुए मर जाते हैं

16- शायद किसी बला का था साया दरख़्त पर
चिड़ियों ने रात शोर मचाया दरख़्त पर

17- पाँव पड़ता हुआ रस्ता नहीं देखा जाता
जाने वाले तिरा जाना नहीं देखा जाता

18- मैं अपने आप में गहरा उतर गया शायद
मिरे सफ़र से अलग हो गई रवानी मिरी

19- मैंने आँखों के किनारे भी न तर होने दिए
जिस तरफ़ से आया था सैलाब वापस कर दिया

20- बहुत बेकार मौसम है मगर कुछ काम करना है
कि ताज़ा ज़ख़्म मिलने तक पुराना ज़ख़्म भरना है

Poet - Abbas Tabish
Location: Vehari, Lahore, Pakistan
Views: 264