Mohsin Naqvi Poetry

Top 20 most famous Shayari of mohsin naqvi


Top 20 most famous Shayari of mohsin naqvi

1- Ab ek pal ka taghaful bhi seh nahi sakte,
Hum ahl-e-dil kabhi aadi the intezaar ke bhi.

2- Har waqt ka hasna tujhe barbaad na kar de,
Tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar.

3- Khuli hain aankhein magar badan hai tamaam patthar,
Koi bataye, main mar chuka hoon ki jee raha hoon.

4- Ek ajnabi jhonke ne jab poocha mere gham ka sabab,
Sehra ki bheegi ret par maine likha aawaargi.

5- Zubaan rakhta hoon lekin chup khada hoon,
Main aawaazon ke ban mein ghir gaya hoon.

6- Yoon dekhte rehna use accha nahi ‘Mohsin’,
Woh kaanch ka paikar hai, toh patthar teri aankhein.

7- Kaun si baat hai tum mein aisi,
Itne acche kyun lagte ho?

8- Kathin tanhaiyon se kaun khela, main akela,
Bhara ab bhi mere gaon ka mela, main akela.

9- Fankaar hai toh haath pe sooraj saja ke la,
Bujhta hua diya na muqabil hawa ke la.

10- Khumar-e-mausam-e-khushboo hadd-e-chaman mein khula,
Meri ghazal ka khazana tere badan mein khula.

11- Hawa-e-hijr mein jo kuch tha ab ke khaak hua,
Ke pairahan toh gaya tha, badan bhi chaak hua.

12- Kis ne sang-e-khamoshi phenka bhare-bazaar par,
Ek sukoont-e-marg taari hai dar-o-deewar par.

13- Ghazalon ki dhanak odh mere shola-badan tu,
Hai mera sukhan tu, mera mauzoo-e-sukhan tu.

14- Labon pe harf-e-rajaz hai zirah utaar ke bhi,
Main jashn-e-fatah manata hoon jung haar ke bhi.

15- Phir wahi main hoon, wahi shahr-badar sannata,
Mujhko das le na kahin khaak-basar sannata.

16- Faza ka habs shughoofon ko baas kya dega,
Badan-dareeda kisi ko libaas kya dega.

17- Saare lehze tere be-zamaan, ek main,
Is bhare sheher mein rayagaan, ek main.

18- Zakhm ke phool se taskeen talab karti hai,
Baaz auqaat meri rooh gazab karti hai.

19- Jugnu guhar, charaag ujaale toh de gaya,
Woh khud ko dhoondhne ke hawaale toh de gaya.

20- Saanson ke is hunar ko na aasan khayaal kar,
Zinda hoon sa’aton ko main sadiyon mein dhaal kar.
-------------------------------------------------
1- अब एक पल का तग़ाफ़ुल भी सह नहीं सकते
हम अहल-ए-दिल कभी आदी थे इंतिज़ार के भी

2- हर वक़्त का हँसना तुझे बर्बाद न कर दे
तन्हाई के लम्हों में कभी रो भी लिया कर

3- खुली हैं आँखें मगर बदन है तमाम पत्थर
कोई बताए मैं मर चुका हूँ कि जी रहा हूँ

4- इक अजनबी झोंके ने जब पूछा मिरे ग़म का सबब
सहरा की भीगी रेत पर मैंने लिखा आवारगी

5- ज़बाँ रखता हूँ लेकिन चुप खड़ा हूँ
मैं आवाज़ों के बन में घिर गया हूँ

6- यूँ देखते रहना उसे अच्छा नहीं 'मोहसिन'
वो काँच का पैकर है तो पत्थर तिरी आँखें

7- कौन सी बात है तुम में ऐसी
इतने अच्छे क्यूँ लगते हो

8- कठिन तन्हाइयों से कौन खेला मैं अकेला
भरा अब भी मिरे गाँव का मेला मैं अकेला

9- फ़नकार है तो हाथ पे सूरज सजा के ला
बुझता हुआ दिया न मुक़ाबिल हवा के ला

10- ख़ुमार-ए-मौसम-ए-ख़ुश्बू हद-ए-चमन में खुला
मिरी ग़ज़ल का ख़ज़ाना तिरे बदन में खुला

11- हवा-ए-हिज्र में जो कुछ था अब के ख़ाक हुआ
कि पैरहन तो गया था बदन भी चाक हुआ

12- किस ने संग-ए-ख़ामुशी फेंका भरे-बाज़ार पर
इक सुकूत-ए-मर्ग तारी है दर-ओ-दीवार पर

13- ग़ज़लों की धनक ओढ़ मिरे शो'ला-बदन तू
है मेरा सुख़न तू मिरा मौज़ू-ए-सुख़न तू

14- लबों पे हर्फ़-ए-रजज़ है ज़िरह उतार के भी
मैं जश्न-ए-फ़तह मनाता हूँ जंग हार के भी

15- फिर वही मैं हूँ वही शहर-बदर सन्नाटा
मुझ को डस ले न कहीं ख़ाक-बसर सन्नाटा

16- फ़ज़ा का हब्स शगूफ़ों को बास क्या देगा
बदन-दरीदा किसी को लिबास क्या देगा

17- सारे लहजे तिरे बे-ज़माँ एक मैं
इस भरे शहर में राएगाँ एक मैं

18- ज़ख़्म के फूल से तस्कीन तलब करती है
बाज़ औक़ात मिरी रूह ग़ज़ब करती है

19- जुगनू गुहर चराग़ उजाले तो दे गया
वो ख़ुद को ढूँडने के हवाले तो दे गया

20- साँसों के इस हुनर को न आसाँ ख़याल कर
ज़िंदा हूँ साअ'तों को मैं सदियों में ढाल कर

Poet - Mohsin Naqvi
Location: Dera Ghazi Khan, Punjab, Pakistan
Views: 239