Bashir Badr Poetry

Top 20 most famous Shayari of Bashir Badr


 Top 20 most famous Shayari of Bashir Badr

1- Saat sandukon mein bhar kar dafn kar do nafratein,
Aaj insaan ko mohabbat ki zarurat hai bahut.

2- Gale mein us ke Khuda ki ajeeb barkat hai,
Woh bolta hai to ek roshni si hoti hai.

3- Miri ghazal ki tarah us ki bhi hukoomat hai,
Tamaam mulk mein woh sab se khoobsurat hai.

4- Insaan apne aap mein majboor hai bahut,
Koi nahin hai bewafa, afsos mat karo.

5- Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega,
Itna mat chaaho use, woh bewafa ho jayega.

6- Kuch to majbooriyan rahi hongi,
Yun koi bewafa nahin hota.

7- Main chahta hoon ki tum hi mujhe ijaazat do,
Tumhari tarah se koi gale lagaye mujhe.

8- Chaand sa misra akela hai mere kaagaz par,
Chhat pe aa jao mera sher mukammal kar do.

9- Itni milti hai meri ghazalon se soorat teri,
Log tujhe mera mehboob samajhte honge.

10- Zindagi tune mujhe qabr se kam di hai zameen,
Paon phelaun to deewaar mein sar lagta hai.

11- Tum mohabbat ko khel kehte ho,
Humne barbaad zindagi kar li.

12- Hum to kuch der hans bhi lete hain,
Dil hamesha udaas rehta hai.

13- Khuda ki itni badi kainaat mein maine,
Bas ek shaks ko manga, mujhe wahi na mila.

14- Jis par hamari aankh ne moti bichae raat bhar,
Bheja wahi kaagaz use, humne likha kuch bhi nahin.

15- Kaagaz mein dab ke mar gaye keede kitaab ke,
Deewana be-padhe-likhe mashhoor ho gaya.

16- Saath chalte ja rahe hain, paas aa sakte nahin,
Ek nadi ke do kinaaron ko mila sakte nahin.

17- Chaand chehra, zulf dariya, baat khushboo, dil chaman,
Ek tumhe de kar Khuda ne de diya kya kya mujhe.

18- Agar fursat mile paani ki tahreeron ko padh lena,
Har ek dariya hazaron saal ka afsana likhta hai.

19- Lahja ki jaise subah ki khushboo azaan de,
Jee chahta hai main teri awaaz choom loon.

20- Yeh parinde bhi kheton ke mazdoor hain,
Laut ke apne ghar shaam tak jayenge.
------------------------------------------
1- सात संदूक़ों में भर कर दफ़्न कर दो नफ़रतें
आज इंसाँ को मोहब्बत की ज़रूरत है बहुत

2- गले में उस के ख़ुदा की अजीब बरकत है
वो बोलता है तो इक रौशनी सी होती है

3- मिरी ग़ज़ल की तरह उस की भी हुकूमत है
तमाम मुल्क में वो सब से ख़ूबसूरत है

4- इंसान अपने आप में मजबूर है बहुत
कोई नहीं है बेवफ़ा अफ़्सोस मत करो

5- सर झुकाओगे तो पत्थर देवता हो जाएगा
इतना मत चाहो उसे वो बेवफ़ा हो जाएगा

6- कुछ तो मजबूरियाँ रही होंगी
यूँ कोई बेवफ़ा नहीं होता

7- मैं चाहता हूँ कि तुम ही मुझे इजाज़त दो
तुम्हारी तरह से कोई गले लगाए मुझे

8- चाँद सा मिस्रा अकेला है मिरे काग़ज़ पर
छत पे आ जाओ मिरा शेर मुकम्मल कर दो

9- इतनी मिलती है मिरी ग़ज़लों से सूरत तेरी
लोग तुझ को मिरा महबूब समझते होंगे

10- ज़िंदगी तू ने मुझे क़ब्र से कम दी है ज़मीं
पाँव फैलाऊँ तो दीवार में सर लगता है

11- तुम मोहब्बत को खेल कहते हो
हम ने बर्बाद ज़िंदगी कर ली

12- हम तो कुछ देर हँस भी लेते हैं
दिल हमेशा उदास रहता है

13- ख़ुदा की इतनी बड़ी काएनात में मैं ने
बस एक शख़्स को माँगा मुझे वही न मिला

14- जिस पर हमारी आँख ने मोती बिछाए रात भर
भेजा वही काग़ज़ उसे हम ने लिखा कुछ भी नहीं

15- काग़ज़ में दब के मर गए कीड़े किताब के
दीवाना बे-पढ़े-लिखे मशहूर हो गया

16- साथ चलते जा रहे हैं पास आ सकते नहीं
इक नदी के दो किनारों को मिला सकते नहीं

17- चाँद चेहरा ज़ुल्फ़ दरिया बात ख़ुशबू दिल चमन
इक तुम्हें दे कर ख़ुदा ने दे दिया क्या क्या मुझे

18- अगर फ़ुर्सत मिले पानी की तहरीरों को पढ़ लेना
हर इक दरिया हज़ारों साल का अफ़्साना लिखता है

19- लहजा कि जैसे सुब्ह की ख़ुश्बू अज़ान दे
जी चाहता है मैं तिरी आवाज़ चूम लूँ

20- ये परिंदे भी खेतों के मज़दूर हैं
लौट के अपने घर शाम तक जाएँगे

Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 305