Parveen Shakir Poetry

Top 20 most famous Shayari of Parveen Shakir


Top 20 most famous Shayari of Parveen Shakir

1- Dukh to aisa hai ki dil aankh se kat kat ke bahe,
Ek waada hai ki rone nahi deta mujh ko.

2- Ye kya ki woh jab chahe mujhe cheen le mujh se,
Apne liye woh shaks tadapta bhi to dekhoon.

3- Gulaab haath mein ho, aankh mein sitaara ho,
Koi wajood mohabbat ka istia'ra ho.

4- Tere siwa bhi kayi rang khush nazar the magar,
Jo tujhko dekh chuka ho, woh aur kya dekhe.

5- Aaine ki aankh hi kuch kam na thi mere liye,
Jaane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna.

6- Humne hi lautne ka iraada nahi kiya,
Usne bhi bhool jaane ka waada nahi kiya.

7- Maza to tab hai ki tum haar ke bhi hanste raho,
Hamesha jeet hi jaana kamaal thodi hai.

8- Woh mujhko chhod ke jis aadmi ke paas gaya,
Barabari ka bhi hota to sabr aa jaata.

9- Rail ki seeti mein kaise hijr ki tamheed thi,
Usko rukhskat karke ghar lautey to andaaza hua.

10- Ladkiyaan baithi thin paanv daal kar,
Roshni si ho gayi talaab mein.

11- Bojh uthaye hue phirti hai hamara ab tak,
Ai zameen maa, teri ye umr to aaraam ki thi.

12- Kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi,
Dil ko khushi ke saath saath hota raha malaal bhi.

13- Raat ke shayad ek baje hain,
Sota hoga mera chaand.

14- Tera ghar aur mera jungle bheegta hai saath saath,
Aisi barsaatein ki baadal bheegta hai saath saath.

15- Abhi se mere rafugar ke haath thakne lage,
Abhi to chaak mere zakhm ke sile bhi nahi.

16- Barishen jaade ki aur tanha bahut mera kisaan,
Jism aur iklauta kambal bheegta hai saath saath.

17- Itne ghane baadal ke peeche,
Kitna tanha hoga chaand.

18-Yaad to hongi woh baatein tujhe ab bhi lekin,
Shelf mein rakhi hui band kitaabon ki tarah.

19- Aadhi raat ki chup mein kis ki chaap ubharti hai,
Chat pe kaun aata hai, seedhiyaan nahi khulti.

20- Ye kab kehti hoon tum mere gale ka haar ho jao,
Wahin se laut jaana tum jahan bezaar ho jao.
-------------------------------------------------
1- दुख तो ऐसा है कि दिल आँख से कट कट के बहे
एक वादा है कि रोने नहीं देता मुझ को

2- ये क्या कि वो जब चाहे मुझे छीन ले मुझ से
अपने लिए वो शख़्स तड़पता भी तो देखूँ

3- गुलाब हाथ में हो आँख में सितारा हो
कोई वजूद मोहब्बत का इस्तिआ'रा हो

4- तेरे सिवा भी कई रंग ख़ुश नज़र थे मगर
जो तुझको देख चुका हो वो और क्या देखे

5- आइने की आँख ही कुछ कम न थी मेरे लिए
जाने अब क्या क्या दिखाएगा तुम्हारा देखना

6- हमने ही लौटने का इरादा नहीं किया
उसने भी भूल जाने का वादा नहीं किया

7- मज़ा तो तब है कि तुम हार के भी हँसते रहो
हमेशा जीत ही जाना कमाल थोड़ी है

8- वो मुझ को छोड़ के जिस आदमी के पास गया
बराबरी का भी होता तो सब्र आ जाता

9- रेल की सीटी में कैसे हिज्र की तम्हीद थी
उसको रुख़्सत करके घर लौटे तो अंदाज़ा हुआ

10- लड़कियाँ बैठी थीं पाँव डालकर
रौशनी सी हो गई तालाब में

11- बोझ उठाए हुए फिरती है हमारा अब तक
ऐ ज़मीं माँ तिरी ये उम्र तो आराम की थी

12- कुछ तो हवा भी सर्द थी कुछ था तिरा ख़याल भी
दिल को ख़ुशी के साथ साथ होता रहा मलाल भी

13- रात के शायद एक बजे हैं
सोता होगा मेरा चाँद

14- तेरा घर और मेरा जंगल भीगता है साथ साथ
ऐसी बरसातें कि बादल भीगता है साथ साथ

15- अभी से मेरे रफ़ूगर के हाथ थकने लगे
अभी तो चाक मिरे ज़ख़्म के सिले भी नहीं

16- बारिशें जाड़े की और तन्हा बहुत मेरा किसान
जिस्म और इकलौता कंबल भीगता है साथ-साथ

17- इतने घने बादल के पीछे
कितना तन्हा होगा चाँद

18- याद तो होंगी वो बातें तुझे अब भी लेकिन
शेल्फ़ में रक्खी हुई बंद किताबों की तरह

19- आधी रात की चुप में किस की चाप उभरती है
छत पे कौन आता है सीढ़ियाँ नहीं खुलतीं

20- ये कब कहती हूँ तुम मेरे गले का हार हो जाओ
वहीं से लौट जाना तुम जहाँ बेज़ार हो जाओ

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 254