Munir Niyazi Poetry

All time most famous ghazals of Munir Niyazi


All time most famous ghazals of Munir Niyazi

1- Bechain bohot phirna ghabraye hue rehna
Ek aag si jazbon ki dehkaaye hue rehna

Chhalkaaye hue chalna khushboo lab-e-laaleen ki
Ek baagh sa saath apne mehakaaye hue rehna

Us husn ka shewa hai jab ishq nazar aaye
Parde mein chale jaana sharmaaye hue rehna

Ek shaam si kar rakhna kajal ke karishme se
Ek chaand sa aankhon mein chamkaaye hue rehna

Aadat hi bana li hai tum ne to 'Munir' apni
Jis shehar mein bhi rehna uktaaye hue rehna


2- Khayaal jis ka tha mujhe khayaal mein mila mujhe
Sawaal ka jawab bhi sawaal mein mila mujhe

Gaya to is tarah gaya ki muddaton nahi mila
Mila jo phir to yun ki wo malaal mein mila mujhe

Tamaam ilm zeest ka guzishtgaan se hi hua
Amal guzishta daur ka misaal mein mila mujhe

Nihaal sabz rang mein jamaal jis ka hai 'Munir'
Kisi qadeem khwaab ke muhaal mein mila mujhe


3- Gham ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
Tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi

Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon mein tha
Yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahi

Har taraf deewar-o-dar aur un mein aankhon ke hujoom
Keh sake jo dil ki haalat wo lab-e-goya nahi

Juram aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza
Kaatta hoon zindagi bhar main ne jo boya nahi

Jaanta hoon ek aise shaks ko main bhi 'Munir'
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahi


4- Zinda rahen to kya hai jo mar jaayein hum to kya
Duniya se khamoshi se guzar jaayein hum to kya

Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne
Ek khwaab hain jahaan mein bikhar jaayein hum to kya

Ab kaun muntazir hai hamaare liye wahan
Shaam aa gayi hai laut ke ghar jaayein hum to kya

Dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr
Dariya-e-gham ke paar utar jaayein hum to kya


5- Be-khayali mein yunhi bas ek iraada kar liya
Apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya

Jaante the dono hum us ko nibha sakte nahi
Us ne waada kar liya main ne bhi waada kar liya

Ghair se nafrat jo paa li kharch khud par ho gayi
Jitne hum the hum ne khud ko us se aadha kar liya

Shaam ke rangon mein rakh kar saaf paani ka gilaas
Aab-e-saada ko hareef-e-rang-e-baada kar liya

Hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqam
Kya tha jis ko hum ne khud deewar-e-jaada kar liya

Ek aisa shaks banta ja raha hoon main 'Munir'
Jis ne khud par band husn o jaam o baada kar liya
---------------------------------
1- बेचैन बहुत फिरना घबराए हुए रहना
इक आग सी जज़्बों की दहकाए हुए रहना

छलकाए हुए चलना ख़ुशबू लब-ए-लालीं की
इक बाग़ सा साथ अपने महकाए हुए रहना

उस हुस्न का शेवा है जब इश्क़ नज़र आए
पर्दे में चले जाना शरमाए हुए रहना

इक शाम सी कर रखना काजल के करिश्मे से
इक चाँद सा आँखों में चमकाए हुए रहना

आदत ही बना ली है तुम ने तो 'मुनीर' अपनी
जिस शहर में भी रहना उकताए हुए रहना


2- ख़याल जिस का था मुझे ख़याल में मिला मुझे
सवाल का जवाब भी सवाल में मिला मुझे

गया तो इस तरह गया कि मुद्दतों नहीं मिला
मिला जो फिर तो यूँ कि वो मलाल में मिला मुझे

तमाम इल्म ज़ीस्त का गुज़िश्तगाँ से ही हुआ
अमल गुज़िश्ता दौर का मिसाल में मिला मुझे

निहाल सब्ज़ रंग में जमाल जिस का है 'मुनीर'
किसी क़दीम ख़्वाब के मुहाल में मिला मुझे


3- ग़म की बारिश ने भी तेरे नक़्श को धोया नहीं
तू ने मुझ को खो दिया मैं ने तुझे खोया नहीं

नींद का हल्का गुलाबी सा ख़ुमार आँखों में था
यूँ लगा जैसे वो शब को देर तक सोया नहीं

हर तरफ़ दीवार-ओ-दर और उन में आँखों के हुजूम
कह सके जो दिल की हालत वो लब-ए-गोया नहीं

जुर्म आदम ने किया और नस्ल-ए-आदम को सज़ा
काटता हूँ ज़िंदगी भर मैं ने जो बोया नहीं

जानता हूँ एक ऐसे शख़्स को मैं भी 'मुनीर'
ग़म से पत्थर हो गया लेकिन कभी रोया नहीं


4- ज़िंदा रहें तो क्या है जो मर जाएँ हम तो क्या
दुनिया से ख़ामुशी से गुज़र जाएँ हम तो क्या

हस्ती ही अपनी क्या है ज़माने के सामने
इक ख़्वाब हैं जहाँ में बिखर जाएँ हम तो क्या

अब कौन मुंतज़िर है हमारे लिए वहाँ
शाम आ गई है लौट के घर जाएँ हम तो क्या

दिल की ख़लिश तो साथ रहेगी तमाम उम्र
दरिया-ए-ग़म के पार उतर जाएँ हम तो क्या


5- बे-ख़याली में यूँही बस इक इरादा कर लिया
अपने दिल के शौक़ को हद से ज़ियादा कर लिया

जानते थे दोनों हम उस को निभा सकते नहीं
उस ने वा'दा कर लिया मैं ने भी वा'दा कर लिया

ग़ैर से नफ़रत जो पा ली ख़र्च ख़ुद पर हो गई
जितने हम थे हम ने ख़ुद को उस से आधा कर लिया

शाम के रंगों में रख कर साफ़ पानी का गिलास
आब-ए-सादा को हरीफ़-ए-रंग-ए-बादा कर लिया

हिजरतों का ख़ौफ़ था या पुर-कशिश कोहना मक़ाम
क्या था जिस को हम ने ख़ुद दीवार-ए-जादा कर लिया

एक ऐसा शख़्स बनता जा रहा हूँ मैं 'मुनीर'
जिस ने ख़ुद पर बंद हुस्न ओ जाम ओ बादा कर लिया


Poet - Munir Niyazi
Location: Hoshiarpur, Punjab, India
Views: 308