Akbar Ilahabadi Poetry

Top 20 most famous Shayari of akbar,ilahabadi


Top 20 most famous Shayari of akbar,ilahabadi

1- Dil wo hai ki faryaad se labrez hai har waqt,
Hum wo hain ki kuchh mooh se nikalne nahi dete.

2- Daawa bahut bada hai riyaazi mein aap ko,
Tool-e-shab-e-firaaq ko to naap dijiye.

3- Jo hai zabaan pe dil ko nahi usse faayda,
Jo dil mein hai wo la nahi sakte zabaan par.

4- Ishq ke izhaar mein har-chand ruswaai to hai,
Par karoon kya ab tabiyat aap par aayi to hai.

5- Jo kaha maine ki pyaar aata hai mujh ko tum par,
Hans ke kehne laga aur aap ko aata kya hai?

6- Log kehte hain badalta hai zamaana sab ko,
Mard wo hain jo zamaane ko badal dete hain.

7- Naaz kya is pe jo badla hai zamaane ne tumhe,
Mard hain wo jo zamaane ko badal dete hain.

8- Mohabbat ka tum se asar kya kahoon,
Nazar mil gayi dil dhadakne laga.

9- Nigah-e-garam Christmas mein bhi rahi hum par,
Hamaare haq mein December bhi maah-e-June hua.

10- Coat aur patloon jab pehna to Mister ban gaya,
Jab koi takreer ki jalse mein leader ban gaya.

11- Haqiqi aur majaazi shayari mein farq ye paaya,
Ki wo jaame se baahar hai ye paajame se baahar hai.

12- Jo waqt-e-khatna main cheekha to naai ne kaha hans kar,
Musalmani mein taaqat khoon hi behne se aati hai.

13- Dhamka ke bose loonga rukh-e-rashk-e-maah ka,
Chanda vasool hota hai sahab dabaav se.

14- Is qadar tha khatmalon ka chaarpaai mein hujoom,
Wasl ka dil se mire armaan rukhsat ho gaya.

15- Hum aisi kul kitaabein qabil-e-zabti samajhte hain,
Ki jin ko padh ke ladke baap ko khabti samajhte hain.

16- Ghazab hai wo ziddi bade ho gaye,
Main leta to uth ke khade ho gaye.

17- Lipat bhi ja na ruk 'Akbar', ghazab ki beauty hai,
Nahi nahi pe na ja ye haya ki duty hai.

18- B.A. bhi paas hoon mile B.B. bhi dil-pasand,
Mehnat ki hai wo baat ye qismat ki baat hai.

19- Hungama hai kyun barpa thodi si jo pee li hai,
Daka to nahi maara chori to nahi ki hai.

20- Main bhi graduate hoon tum bhi graduate,
Ilmi mubahise hoon zara paas aa ke late.
---------------------------------------------
1- दिल वो है कि फ़रियाद से लबरेज़ है हर वक़्त
हम वो हैं कि कुछ मुँह से निकलने नहीं देते

2- दावा बहुत बड़ा है रियाज़ी में आप को
तूल-ए-शब-ए-फ़िराक़ को तो नाप दीजिए

3- जो है ज़बाँ पे दिल को नहीं उससे फ़ाएदा
जो दिल में है वो ला नहीं सकते ज़बान पर

4- इश्क़ के इज़हार में हर-चंद रुस्वाई तो है
पर करूँ क्या अब तबीअत आप पर आई तो है

5- जो कहा मैं ने कि प्यार आता है मुझ को तुम पर
हँस के कहने लगा और आप को आता क्या है

6- लोग कहते हैं बदलता है ज़माना सब को
मर्द वो हैं जो ज़माने को बदल देते हैं

7- नाज़ क्या इस पे जो बदला है ज़माने ने तुम्हें
मर्द हैं वो जो ज़माने को बदल देते हैं

8- मोहब्बत का तुम से असर क्या कहूँ
नज़र मिल गई दिल धड़कने लगा

9- निगाह-ए-गर्म क्रिसमस में भी रही हम पर
हमारे हक़ में दिसम्बर भी माह-ए-जून हुआ

10- कोट और पतलून जब पहना तो मिस्टर बन गया
जब कोई तक़रीर की जलसे में लीडर बन गया

11- हक़ीक़ी और मजाज़ी शायरी में फ़र्क़ ये पाया
कि वो जामे से बाहर है ये पाजामे से बाहर है

12- जो वक़्त-ए-ख़त्ना मैं चीख़ा तो नाई ने कहा हँस कर
मुसलमानी में ताक़त ख़ून ही बहने से आती है

13- धमका के बोसे लूँगा रुख़-ए-रश्क-ए-माह का
चंदा वसूल होता है साहब दबाव से

14- इस क़दर था खटमलों का चारपाई में हुजूम
वस्ल का दिल से मिरे अरमान रुख़्सत हो गया

15- हम ऐसी कुल किताबें क़ाबिल-ए-ज़ब्ती समझते हैं
कि जिन को पढ़ के लड़के बाप को ख़ब्ती समझते हैं

16- ग़ज़ब है वो ज़िद्दी बड़े हो गए
मैं लेटा तो उठ के खड़े हो गए

17- लिपट भी जा न रुक 'अकबर' ग़ज़ब की ब्यूटी है
नहीं नहीं पे न जा ये हया की ड्यूटी है

18- बी.ए भी पास हों मिले बी-बी भी दिल-पसंद
मेहनत की है वो बात ये क़िस्मत की बात है

19- हंगामा है क्यूँ बरपा थोड़ी सी जो पी ली है
डाका तो नहीं मारा चोरी तो नहीं की है

20- मैं भी ग्रेजुएट हूँ तुम भी ग्रेजुएट
इल्मी मुबाहिसे हों ज़रा पास आ के लेट


Poet - Akbar Ilahabadi
Location: Bara, India
Views: 76