Allama Iqbal Poetry

Majnun ne shahr chhoda to sahra bhi chhod de


Majnun ne shahr chhoda to sahra bhi chhod de

majnun ne shahr chhoda to sahra bhi chhod de
nazzare ki havas ho to laila bhi chhod de

vaaiz kamal-e-tark se milti hai yaan murad
duniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod de

taqlid Ki ravish se to behtar hai ḳhud-kushi
rasta bhi DhunD ḳhizr ka sauda bhi chhod de

manind-e-ḳhama teri zaban par hai harf-e-ghair
begana shai pe nazish-e-beja bhi chhod de

lutf-e-kalam kya jo na ho dil men dard-e-ishq
bismil nahin hai tu to taḌapna bhi chhod de

shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal
is baagh men qayam ka sauda bhi chhod de

hai ashiqi men rasm alag sab se baiThna
but-ḳhana bhi haram bhi kalisa bhi chhod de

sauda-gari nahin ye ibadat ḳhuda ki hai
ai be-ḳhabar jaza ki tamanna bhi chhoḌ de

achchha hai dil ke saath rahe pasban-e-aql
lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de

jiina vo kya jo ho nafas-e-ghair par madar
shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de

shoḳhi si hai saval-e-mukarrar men ai kalim
shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhod de

vaaiz subut laae jo mai ke javaz men
'iqbal' ko ye zid hai ki piina bhi chhod de
----------------------------------------------
मजनूँ ने शहर छोड़ा तो सहरा भी छोड़ दे
नज़ारे की हवस हो तो लैला भी छोड़ दे

वाजिज़ कमाल-ए-तर्क से मिलती है यहाँ मुहब्बत
दुनिया जो छोड़ दी है तो ऊब़ा भी छोड़ दे

तकलीद की रविश से तो बेहतर है ख़ुदकुशी
रास्ता भी ढूँढ ख़िज़र का सौदा भी छोड़ दे

मानिंद-ए-ख़ामा तेरी ज़बां पर है हरफ़-ए-ग़ैर
बेगाना शै पे नाज़िश-ए-बेज़ा भी छोड़ दे

लुत्फ़-ए-कलाम क्या जो न हो दिल में दर्द-ए-इश्क़
बिज़मिल नहीं है तू तो तड़पना भी छोड़ दे

शबनम की तरह फूलों पे रो और चमन से चल
इस बाग़ में क़याम का सौदा भी छोड़ दे

है आशिकी में रस्म अलग सब से बैठना
बुत-ख़ाना भी हरम भी चर्चा भी छोड़ दे

सौदागरी नहीं ये इबादत ख़ुदा की है
ऐ बे-ख़बर सज़ा की तमन्ना भी छोड़ दे

अच्छा है दिल के साथ रहे पासबान-ए-अक़ल
लेकिन कभी कभी इसे तन्हा भी छोड़ दे

जीना वो क्या जो हो नफ़स-ए-ग़ैर पर मदार
शोहरत की ज़िंदगी का भरोसा भी छोड़ दे

शौक़ी सी है सवाल-ए-मुकर्रर में ऐ कलीम
शर्त-ए-रज़ा ये है कि तक़ाज़ा भी छोड़ दे

वाजिज़ सुबूत ला ऐ जो मय के जवाद में
'इक़बाल' को ये ज़िद है कि पीना भी छोड़ दे


Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 175