Rahat Indori Poetry

All time most famous ghazals of Rahat Indori


All time most famous ghazals of Rahat Indori

1- Roz taaron ko numaish mein khalal padta hai
Chaand paagal hai andhere mein nikal padta hai

Ek deewana musaafir hai meri aankhon mein
Waqt-be-waqt thahar jaata hai chal padta hai

Apni taabeer ke chakkar mein mera jagta khwaab
Roz sooraj ki tarah ghar se nikal padta hai

Roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain
Roz sheesho se koi kaam nikal padta hai

Uski yaad aayi hai saanson zara aahista chalo
Dhadkano se bhi ibaadat mein khalal padta hai


2- Sirf khanjar hi nahi aankhon mein paani chahiye
Ai Khuda dushman bhi mujh ko khaandani chahiye

Shehar ki saari Alif-Lailayein boodhi ho chuki
Shahzaade ko koi taaza kahani chahiye

Maine ai sooraj tujhe pooja nahi samjha to hai
Mere hisse mein bhi thodi dhoop aani chahiye

Meri keemat kaun de sakta hai is bazaar mein
Tum Zulaikha ho tumhe keemat lagani chahiye

Zindagi hai ek safar aur zindagi ki raah mein
Zindagi bhi aaye to thokar lagani chahiye

Maine apni khushk aankhon se lahoo chhalka diya
Ek samundar keh raha tha mujh ko paani chahiye


3- Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain
Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain

May-kada zarf ke mea'ar ka paimana hai
Khaali sheesho ki tarah log uchhalte kyun hain

Mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye
Aur sab log yahin aa ke phislte kyun hain

Neend se mera ta’alluq hi nahi barson se
Khwaab aa aa ke meri chhat pe tahalte kyun hain

Main na jugnoo hoon diya hoon na koi taara hoon
Roshni wale mere naam se jalte kyun hain


4- Ghar se ye soch ke nikla hoon ke mar jaana hai
Ab koi raah dikha de ke kidhar jaana hai

Jism se saath nibhaane ki mat umeed rakho
Is musaafir ko to raste mein thahar jaana hai

Maut lamhe ki sada, zindagi umron ki pukar
Main yahi soch ke zinda hoon ke mar jaana hai

Nasha aisa tha ke may-khaane ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya ke ghar jaana hai

Mere jazbe ki badi qadr hai logon mein magar
Mere jazbe ko mere saath hi mar jaana hai


5- Aankh mein paani rakho honton pe chingaari rakho
Zinda rehna hai to tarkeeben bohot saari rakho

Raah ke patthar se badh kar kuch nahi hain manzilen
Raste awaaz dete hain safar jaari rakho

Ek hi naddee ke hain ye do kinare dosto
Dostana zindagi se maut se yaari rakho

Aate jaate pal ye kehte hain humare kaan mein
Kooch ka ailaan hone ko hai tayyaari rakho

Ye zaroori hai ke aankhon ka bharam qaaim rahe
Neend rakho ya na rakho khwaab meyaari rakho

Ye hawaayein ud na jaayein le ke kaagaz ka badan
Dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho

Le to aaye shayari bazaar mein 'Rahat' miyaan
Kya zaroori hai ke lehze ko bhi baazari rakho
-----------------------------------------------------
1- रोज़ तारों को नुमाइश में ख़लल पड़ता है
चाँद पागल है अँधेरे में निकल पड़ता है

एक दीवाना मुसाफ़िर है मिरी आँखों में
वक़्त-बे-वक़्त ठहर जाता है चल पड़ता है

अपनी ताबीर के चक्कर में मिरा जागता ख़्वाब
रोज़ सूरज की तरह घर से निकल पड़ता है

रोज़ पत्थर की हिमायत में ग़ज़ल लिखते हैं
रोज़ शीशों से कोई काम निकल पड़ता है

उस की याद आई है साँसो ज़रा आहिस्ता चलो
धड़कनों से भी इबादत में ख़लल पड़ता है


2- सिर्फ़ ख़ंजर ही नहीं आँखों में पानी चाहिए
ऐ ख़ुदा दुश्मन भी मुझ को ख़ानदानी चाहिए

शहर की सारी अलिफ़-लैलाएँ बूढ़ी हो चुकीं
शाहज़ादे को कोई ताज़ा कहानी चाहिए

मैं ने ऐ सूरज तुझे पूजा नहीं समझा तो है
मेरे हिस्से में भी थोड़ी धूप आनी चाहिए

मेरी क़ीमत कौन दे सकता है इस बाज़ार में
तुम ज़ुलेख़ा हो तुम्हें क़ीमत लगानी चाहिए

ज़िंदगी है इक सफ़र और ज़िंदगी की राह में
ज़िंदगी भी आए तो ठोकर लगानी चाहिए

मैं ने अपनी ख़ुश्क आँखों से लहू छलका दिया
इक समुंदर कह रहा था मुझ को पानी चाहिए


3- लोग हर मोड़ पे रुक रुक के सँभलते क्यूँ हैं
इतना डरते हैं तो फिर घर से निकलते क्यूँ हैं

मय-कदा ज़र्फ़ के मेआ'र का पैमाना है
ख़ाली शीशों की तरह लोग उछलते क्यूँ हैं

मोड़ होता है जवानी का सँभलने के लिए
और सब लोग यहीं आ के फिसलते क्यूँ हैं

नींद से मेरा तअल्लुक़ ही नहीं बरसों से
ख़्वाब आ आ के मिरी छत पे टहलते क्यूँ हैं

मैं न जुगनू हूँ दिया हूँ न कोई तारा हूँ
रौशनी वाले मिरे नाम से जलते क्यूँ हैं


4- घर से ये सोच के निकला हूँ कि मर जाना है
अब कोई राह दिखा दे कि किधर जाना है

जिस्म से साथ निभाने की मत उम्मीद रखो
इस मुसाफ़िर को तो रस्ते में ठहर जाना है

मौत लम्हे की सदा ज़िंदगी उम्रों की पुकार
मैं यही सोच के ज़िंदा हूँ कि मर जाना है

नश्शा ऐसा था कि मय-ख़ाने को दुनिया समझा
होश आया तो ख़याल आया कि घर जाना है

मिरे जज़्बे की बड़ी क़द्र है लोगों में मगर
मेरे जज़्बे को मिरे साथ ही मर जाना है


5- आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो
ज़िंदा रहना है तो तरकीबें बहुत सारी रखो

राह के पत्थर से बढ़ कर कुछ नहीं हैं मंज़िलें
रास्ते आवाज़ देते हैं सफ़र जारी रखो

एक ही नद्दी के हैं ये दो किनारे दोस्तो
दोस्ताना ज़िंदगी से मौत से यारी रखो

आते जाते पल ये कहते हैं हमारे कान में
कूच का ऐलान होने को है तय्यारी रखो

ये ज़रूरी है कि आँखों का भरम क़ाएम रहे
नींद रखो या न रखो ख़्वाब मेयारी रखो

ये हवाएँ उड़ न जाएँ ले के काग़ज़ का बदन
दोस्तो मुझ पर कोई पत्थर ज़रा भारी रखो

ले तो आए शाइरी बाज़ार में 'राहत' मियाँ
क्या ज़रूरी है कि लहजे को भी बाज़ारी रखो


Poet - Rahat Indori
Location: Indore, Madhya Pradesh
Views: 265