Zia Mazkoor Poetry

shah se chupke qaidee ne shehzaadi ko paigaam likha


shah se chupke qaidee ne shehzaadi ko paigaam likha

शाह से छुपके कैदी ने शहज़ादी को पैगाम लिखा
जंग से भागने वालों में शहज़ादे का भी नाम लिखा

दूरदराज़ से आने वाले ख़त मेरी हमसाही के थे
इक दिन उसने हिम्मत करके अपना असली नाम लिखा

हम दोनों ने अपने अपने दीन पे कायम रहना था
घर की इक दीवार पे अल्लाह इक दीवार पे राम लिखा

एक मोहब्बत खत्म हुई तो दूसरी की तैयारी की
नई कहानी के आगाज में पहली का अंजाम लिखा

----------------------------

shah se chupke qaidee ne shehzaadi ko paigaam likha
jang se bhaagne waalon mein shehzaade ka bhi naam likha

dooradraaz se aane waale khat meri hamsaahi ke the
ik din usne himmat karke apna asli naam likha

ham dono ne apne apne deen pe kaayam rahna tha
ghar ki ik deewaar pe allah ik deewaar pe raam likha

ek mohabbat khatm hui to doosri ki taiyaari ki
nayi kahaani ke aagaaz mein pehli ka anjaam likha 

Poet - Zia Mazkoor
Location: Bahawalpur, Pakistan
Views: 297