Zia Mazkoor Poetry

ye baat soch ke tere hue hain ham dono


ye baat soch ke tere hue hain ham dono

ये बात सोच के तेरे हुए हैं हम दोनों
के तुझ को ले के बहुत लड़ चुके हैं हम दोनों

ये सरहदे तो अभी कल बनी है मेरे दोस्त
हजारों साल इकट्ठे रहे हैं हम दोनों

कोई तो था वो जो अब हाफ़िज़े का हिस्सा नहीं
वो बात क्या थी जो भूले हुए हैं हम दोनों

तुम ऐसी बात किसी को नहीं बताऊंगी
मुझे लगा था बड़े हो चुके हैं हम दोनों

हजारों जोड़े गुलाबों में छुप के बैठे हैं
ये और बात के पकड़े गए हैैं हम दोनों

----------------------------------------

ye baat soch ke tere hue hain ham dono
ke tujh ko le ke bahut lad chuke hain ham dono

ye sarhade to abhi kal bani hai mere dost
hazaaron saal ikatthe rahe hain ham dono

koi to tha vo jo ab haafeze ka hissa nahin
vo baat kya thi jo bhule hue hain ham dono

tum aisi baat kisi ko nahin bataaungi
mujhe laga tha bade ho chuke hain ham dono

hazaaron jode gulaabon mein chhup ke baithe hain
ye aur baat ke pakde gaye hain ham dono 


Poet - Zia Mazkoor
Location: Bahawalpur, Pakistan
Views: 306