Zia Mazkoor Poetry

Be-sabab us ke naam ki main ne


Be-sabab us ke naam ki main ne

बे-सबब उस के नाम की मैं ने
काट तो ली थी ज़िंदगी मैं ने

वो मुझे ख़्वाब में नज़र आया
और तस्वीर खींच ली मैं ने

आप का काम हो गया आक़ा
लाश दरिया में फेंक दी मैं ने

खेल तू इस लिए भी हारेगा
चाल चलनी है आख़िरी मैं ने

एक वो बे-हिजाब और उस पर
डाल रक्खी थी रौशनी मैं ने

-----------------------------------

be-sabab us ke naam ki main ne
kaat to li thi zindagi main ne

vo mujhe khwaab mein nazar aaya
aur tasveer kheench li main ne

aap ka kaam ho gaya aqaa
laash dariya mein fenk di main ne

khel tu is liye bhi haarega
chaal chalni hai aakhiri main ne

ek vo be-hijaab aur us par
daal rakhi thi raushni main ne 

Poet - Zia Mazkoor
Location: Bahawalpur, Pakistan
Views: 265