Jaun Elia Poetry

Woh khayal-e-muhal kis ka tha


Woh khayal-e-muhal kis ka tha

Woh khayal-e-muhal kis ka tha
Aina be-misaal kis ka tha.

Safar apne aap se tha main
Hijr kis ka wisaal kis ka tha.

Main to khud mein kahin na tha mojood
Mere lab par sawaal kis ka tha.

Thi meri zaat ik khayal-ashob
Jaane main hum-khayal kis ka tha.

Jab ke main har-nafas tha be-ahwal
Woh jo tha mera haal kis ka tha.

Dopehar baad-e-tund koocha-e-yaar
Woh gubaar-e-malaal kis ka tha.
-----------------------------------
वो ख़याल-ए-मुहाल किस का था
आइना बे-मिसाल किस का था

सफ़री अपने आप से था मैं
हिज्र किस का विसाल किस का था

मैं तो ख़ुद में कहीं न था मौजूद
मेरे लब पर सवाल किस का था

थी मिरी ज़ात इक ख़याल-आशोब
जाने मैं हम-ख़याल किस का था

जब कि मैं हर-नफ़स था बे-अहवाल
वो जो था मेरा हाल किस का था

दोपहर बाद-ए-तुंद कूचा-ए-यार
वो ग़ुबार-ए-मलाल किस का था


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 484