Jaun Elia Poetry

Kaisa dil aur is ke kya gham ji


Kaisa dil aur is ke kya gham ji

Kaisa dil aur is ke kya gham ji
Yoonhi baatein banaate hain hum ji.

Kya bhala aasteen aur daaman
Kab se palken bhi ab nahi nam ji.

Us se ab koi baat kya karna
Khud se bhi baat keeje kam-kam ji.

Dil jo dil kya tha ek mehfil tha
Ab hai darham ji aur barham ji.

Baat be-taur ho gayi shayad
Zakhm bhi ab nahi hai marham ji.

Haar duniya se maan le shayad
Dil hamare mein ab nahi dam ji.

Hai ye hasrat ke zabh ho jaun
Hai shikan us shikam ki zaalim ji.

Kaise aakhir na rang khelen hum
Dil lahoo ho raha hai jaanam ji.

Hai kharaba Hussainiya apna
Roz majlis hai aur maatam ji.

Waqt dam bhar ka khel hai is mein
Besh-az-besh hai kam-az-kam ji.

Hai azal se abad talak ka hisaab
Aur bas ek pal hai paiham ji.

Be-shikan ho gayi hain woh zulfein
Us gali mein nahi rahe kham ji.

Dasht-e-dil ka ghazal hi na raha
Ab bhala kis se keejiye ram ji.
-----------------------------------
कैसा दिल और इस के क्या ग़म जी
यूँही बातें बनाते हैं हम जी

क्या भला आस्तीन और दामन
कब से पलकें भी अब नहीं नम जी

उस से अब कोई बात क्या करना
ख़ुद से भी बात कीजे कम-कम जी

दिल जो दिल क्या था एक महफ़िल था
अब है दरहम जी और बरहम जी

बात बे-तौर हो गई शायद
ज़ख़्म भी अब नहीं है मरहम जी

हार दुनिया से मान ले शायद
दिल हमारे में अब नहीं दम जी

है ये हसरत के ज़ब्ह हो जाऊँ
है शिकन उस शिकम कि ज़ालिम जी

कैसे आख़िर न रंग खेलें हम
दिल लहू हो रहा है जानम जी

है ख़राबा हुसैनिया अपना
रोज़ मज्लिस है और मातम जी

वक़्त दम भर का खेल है इस में
बेश-अज़-बेश है कम-अज़-कम जी

है अज़ल से अबद तलक का हिसाब
और बस एक पल है पैहम जी

बे-शिकन हो गई हैं वो ज़ुल्फ़ें
उस गली में नहीं रहे ख़म जी

दश्त-ए-दिल का ग़ज़ाल ही न रहा
अब भला किस से कीजिए रम जी

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 499