Jaun Elia Poetry

Ye jo suna ek din wo haveli yak-sar be-asaar giri


Ye jo suna ek din wo haveli yak-sar be-asaar giri

Ye jo suna ek din wo haveli yak-sar be-asaar giri
Hum jab bhi saaye mein baithe, dil par ek deewar giri

Joonhi mud kar dekha maine, beech uthi thi ek deewar
Bas yun samjho mere upar bijli si ek baar giri

Dhaar pe baad rakhi jaye aur hum us ke ghaayal thahrein
Maine dekha aur nazron se un palkon ki dhaar giri

Girne wali un taameeron mein bhi ek saliqa tha
Tum eenton ki poochh rahe ho, mitti tak hamvaar giri

Bedari ke bistar par main un ke khwaab sajata hoon
Neend bhi jin ki taat ke upar khwaabon se nadaar giri

Khoob hi thi wo qaum-e-shahidaan, ya’ni sab be-zakhm-o-kharaash
Main bhi us saf mein tha shaamil, wo saf jo be-waar giri

Har lamha ghamsaan ka ran hai, kaun apne ausaan mein hai
Kaun hai ye? Achha to main hoon, laash to haan ek yaar giri
------------------------------------------------------------
ये जो सुना इक दिन वो हवेली यकसर बे-आसार गिरी
हम जब भी साए में बैठे दिल पर इक दीवार गिरी

जूँही मुड़ कर देखा मैं ने बीच उठी थी इक दीवार
बस यूँ समझो मेरे ऊपर बिजली सी इक बार गिरी

धार पे बाड़ रखी जाए और हम उस के घायल ठहरें
मैं ने देखा और नज़रों से उन पलकों की धार गिरी

गिरने वाली उन तामीरों में भी एक सलीक़ा था
तुम ईंटों की पूछ रहे हो मिट्टी तक हमवार गिरी

बेदारी के बिस्तर पर मैं उन के ख़्वाब सजाता हूँ
नींद भी जिन की टाट के ऊपर ख़्वाबों से नादार गिरी

ख़ूब ही थी वो क़ौम-ए-शहीदाँ या'नी सब बे-ज़ख़म-ओ-ख़राश
मैं भी उस सफ़ में था शामिल वो सफ़ जो बे-वार गिरी

हर लम्हा घमसान का रन है कौन अपने औसान में है
कौन है ये? अच्छा तो मैं हूँ लाश तो हाँ इक यार गिरी


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 58