Jaun Elia Poetry

Tiflaan-e-koocha-gard ke patthar bhi kuch nahi


Tiflaan-e-koocha-gard ke patthar bhi kuch nahi

Tiflaan-e-koocha-gard ke patthar bhi kuch nahi
Sauda bhi ek wahm hai aur sar bhi kuch nahi

Main aur khud ko tujh se chhupaunga ya'ni main
Le dekh le miyaan mere andar bhi kuch nahi

Bas ik gubaar-e-wahm hai ik koocha-gard ka
Deewar-e-bood kuch nahi aur dar bhi kuch nahi

Yeh shahar-daar-o-muhtasib-o-maulvi hi kya
Peer-e-mughan-o-rind-o-qalandar bhi kuch nahi

Shaikh-e-haram-luqma ki parwa hai kyun tumhein
Masjid bhi uski kuch nahi mimbar bhi kuch nahi

Maqdoor apna kuch bhi nahi is dayar mein
Shayad woh zabr hai ke muqaddar bhi kuch nahi

Jaane main tere naaf-piyaale pe hoon fida
Yeh aur baat hai tera paikar bhi kuch nahi

Yeh shab ka raqs-o-rang to kya sun meri kuhn
Subh-e-shitaab-kosh ko daftar bhi kuch nahi

Bas ik gubaar Toor-e-gumaan ka hai teh-ba-teh
Ya'ni nazar bhi kuch nahi manzar bhi kuch nahi

Hai ab to ek jaal sukoon-e-hameshgi
Parwaz ka to zikr hi kya par bhi kuch nahi

Kitna daraawna hai yeh shahar-e-nabood-o-bood
Aisa daraawna ki yahaan dar bhi kuch nahi

Pehlu mein hai jo mere kahin aur hai woh shakhs
Ya'ni wafa-e-ahad ka bistar bhi kuch nahi

Nisbat mein un ki jo hai aziyyat woh hai magar
Shehrag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuch nahi

Yaaran tumhein jo mujh se gila hai to kis liye
Mujh ko to aitiraaz Khuda par bhi kuch nahi

Guzregi 'Jau'n' shahar mein rishton ke kis tarah
Dil mein bhi kuch nahi hai zubaan par bhi kuch nahi
---------------------------------------------------
तिफ़्लान-ए-कूचा-गर्द के पत्थर भी कुछ नहीं
सौदा भी एक वहम है और सर भी कुछ नहीं

मैं और ख़ुद को तुझ से छुपाऊँगा या'नी मैं
ले देख ले मियाँ मिरे अंदर भी कुछ नहीं

बस इक गुबार-ए-वहम है इक कूचा-गर्द का
दीवार-ए-बूद कुछ नहीं और दर भी कुछ नहीं

ये शहर-दार-ओ-मुहतसिब-ओ-मौलवी ही क्या
पीर-ए-मुग़ान-ओ-रिन्द-ओ-क़लंदर भी कुछ नहीं

शैख़-ए-हराम-लुक़्मा की पर्वा है क्यूँ तुम्हें
मस्जिद भी उस की कुछ नहीं मिम्बर भी कुछ नहीं

मक़्दूर अपना कुछ भी नहीं इस दयार में
शायद वो जब्र है कि मुक़द्दर भी कुछ नहीं

जानी मैं तेरे नाफ़-पियाले पे हूँ फ़िदा
ये और बात है तिरा पैकर भी कुछ नहीं

ये शब का रक़्स-ओ-रंग तो क्या सुन मिरी कुहन
सुब्ह-ए-शिताब-कोश को दफ़्तर भी कुछ नहीं

बस इक ग़ुबार तूर-ए-गुमाँ का है तह-ब-तह
या'नी नज़र भी कुछ नहीं मंज़र भी कुछ नहीं

है अब तो एक जाल सुकून-ए-हमेशगी
पर्वाज़ का तो ज़िक्र ही क्या पर भी कुछ नहीं

कितना डरावना है ये शहर-ए-नबूद-ओ-बूद
ऐसा डरावना कि यहाँ डर भी कुछ नहीं

पहलू में है जो मेरे कहीं और है वो शख़्स
या'नी वफ़ा-ए-अहद का बिस्तर भी कुछ नहीं

निस्बत में उन की जो है अज़िय्यत वो है मगर
शह-रग भी कोई शय नहीं और सर भी कुछ नहीं

याराँ तुम्हें जो मुझ से गिला है तो किस लिए
मुझ को तो ए'तिराज़ ख़ुदा पर भी कुछ नहीं

गुज़रेगी 'जौन' शहर में रिश्तों के किस तरह
दिल में भी कुछ नहीं है ज़बाँ पर भी कुछ नहीं


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 32