Jaun Elia Poetry

Saari duniya ke gham hamaare hain


Saari duniya ke gham hamaare hain

Saari duniya ke gham hamaare hain
Aur sitam ye ke hum tumhaare hain

Dil-e-barbaad ye khayal rahe
Us ne gesu nahi sanvaare hain

Un rafeeqon se sharm aati hai
Jo mera saath de ke haare hain

Aur to hum ne kya kiya ab tak
Ye kiya hai ke din guzaare hain

Us gali se jo ho ke aaye hon
Ab to wo raah-rau bhi pyaare hain

'Jaun' hum zindagi ki raahon mein
Apni tanha-ravi ke maare hain
--------------------------------
सारी दुनिया के ग़म हमारे हैं
और सितम ये कि हम तुम्हारे हैं

दिल-ए-बर्बाद ये ख़याल रहे
उस ने गेसू नहीं सँवारे हैं

उन रफ़ीक़ों से शर्म आती है
जो मिरा साथ दे के हारे हैं

और तो हम ने क्या किया अब तक
ये किया है कि दिन गुज़ारे हैं

उस गली से जो हो के आए हों
अब तो वो राह-रौ भी प्यारे हैं

'जौन' हम ज़िंदगी की राहों में
अपनी तन्हा-रवी के मारे हैं


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 27