Jaun Elia Poetry

Khud se rishtay rahe kahan un ke


Khud se rishtay rahe kahan un ke

Khud se rishtay rahe kahan un ke
Gham to jaane the raayegan un ke

Mast un ko gumaan mein rehne de
Khaana-barbaad hain gumaan un ke

Yaar sukh neend ho naseeb un ko
Dukh yeh hai dukh hain be-amaan un ke

Kitni sar-sabz thi zameen un ki
Kitne neele the aasman un ke

Nauha-khwani hai kya zaroor unhein
Un ke naghme hain nauha-khwan un ke
---------------------------------------
ख़ुद से रिश्ते रहे कहाँ उन के
ग़म तो जाने थे राएगाँ उन के

मस्त उन को गुमाँ में रहने दे
ख़ाना-बर्बाद हैं गुमाँ उन के

यार सुख नींद हो नसीब उन को
दुख ये है दुख हैं बे-अमाँ उन के

कितनी सरसब्ज़ थी ज़मीं उन की
कितने नीले थे आसमाँ उन के

नौहा-ख़्वानी है क्या ज़रूर उन्हें
उन के नग़्मे हैं नौहा-ख़्वाँ उन के


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 59