Jaun Elia Poetry

Ek gumaan ka haal hai aur faqat gumaan mein hai


Ek gumaan ka haal hai aur faqat gumaan mein hai

Ek gumaan ka haal hai aur faqat gumaan mein hai
Kis ne azaab-e-jaan saha kaun azaab-e-jaan mein hai

Lamhah-ba-lamhah dam-ba-dam aan-ba-aan ram-ba-ram
Main bhi guzishtagaan mein hoon tu bhi guzishtagaan mein hai

Aadam-o-zaat-e-kibriya karb mein hain juda-juda
Kya kahoon un ka maazra jo bhi hai imtihaan mein hai

Shaakh se udh gaya parindah hai dil-e-shaam-e-dard-mand
Sahan mein hai malaal sa huzn sa aasmaan mein hai

Khud mein bhi be-amaan hoon main tujh mein bhi be-amaan hoon main
Kaun sahega us ka gham woh jo meri amaan mein hai

Kaisa hisaab kya hisaab haalat-e-haal hai azaab
Zakhm nafas nafas mein hai zehr zama zama mein hai

Us ka firaaq bhi ziyan us ka wisal bhi ziyan
Ek ajeeb kashmakash halqa-e-be-dilaan mein hai

Bood-o-nabood ka hisaab main nahi jaanta magar
Saare wujood ki nahi mere adam ki haan mein hai
--------------------------------------------------
एक गुमाँ का हाल है और फ़क़त गुमाँ में है
किस ने अज़ाब-ए-जाँ सहा कौन अज़ाब-ए-जाँ में है

लम्हा-ब-लम्हा दम-ब-दम आन-ब-आन रम-ब-रम
मैं भी गुज़िश्तगाँ में हूँ तू भी गुज़िश्तगाँ में है

आदम-ओ-ज़ात-ए-किब्रिया कर्ब में हैं जुदा जुदा
क्या कहूँ उन का माजरा जो भी है इम्तिहाँ में है

शाख़ से उड़ गया परिंद है दिल-ए-शाम-ए-दर्द-मंद
सहन में है मलाल सा हुज़्न सा आसमाँ में है

ख़ुद में भी बे-अमाँ हूँ मैं तुझ में भी बे-अमाँ हूँ मैं
कौन सहेगा उस का ग़म वो जो मिरी अमाँ में है

कैसा हिसाब क्या हिसाब हालत-ए-हाल है अज़ाब
ज़ख़्म नफ़स नफ़स में है ज़हर ज़माँ ज़माँ में है

उस का फ़िराक़ भी ज़ियाँ उस का विसाल भी ज़ियाँ
एक अजीब कश्मकश हल्क़ा-ए-बे-दिलाँ में है

बूद-ओ-नबूद का हिसाब मैं नहीं जानता मगर
सारे वजूद की नहीं मेरे अदम की हाँ में है


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 29