Munawwar Rana Poetry

Top 20 most famous Shayari of Munawar Rana


Top 20 most famous Shayari of Munawar Rana

1- Main isi mitti se utha tha bagule ki tarah,
Aur phir ek din isi mitti mein mitti mil gayi.

2- Tamaam jism ko aankhein bana ke raah tako,
Tamaam khel mohabbat mein intezaar ka hai.

3- Woh chahe Majnu ho, Farhad ho ki Raanjha ho,
Har ek shaks mera hum-sabaq nikalta hai.

4- Maine kal shab chahat ki sab kitaabein faad di,
Sirf ek kaagaz pe likha lafz-e-maa rehne diya.

5- Ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahi sakta,
Main jab tak ghar na lautun meri maa sajde mein rehti hai.

6- Barbaad kar diya humein pardes ne magar,
Maa sab se keh rahi hai ki beta maze mein hai.

7- Tere daaman mein sitare hain to honge aye falak,
Mujhko apni maa ki maili odhni acchi lagi.

8- Kal apne-aap ko dekha tha maa ki aankhon mein,
Ye aaina humein boodha nahi batata hai.

9- Jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai,
Maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai.

10- Mohabbat ek paakeeza amal hai is liye shayad,
Simat kar sharm saari ek bose mein chali aayi.

11- Hamaare kuch gunaahon ki saza bhi saath chalti hai,
Hum ab tanha nahi chalte dawa bhi saath chalti hai.

12- Kisi ke zakhm par chahat se patti kaun baandhega,
Agar behnen nahi hongi to rakhi kaun baandhega.

13- Ye soch ke maa baap ki khidmat mein laga hoon,
Is ped ka saaya mere bachon ko milega.

14- Chalti firti hui aankhon se azaan dekhi hai,
Maine jannat to nahi dekhi hai maa dekhi hai.

15- Sagi behnon ka jo rishta rishta hai Urdu aur Hindi mein,
Kahin duniya ki do zinda zabanon mein nahi milta.

16- Itni tawaqqoaat zamaane ko humse hai,
Utni to umr bhi nahi laaye likha ke hum.

17- Abhi zinda hai maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga,
Main ghar se jab nikalta hoon dua bhi saath chalti hai.

18- Jahaan se ji na lage tum wahi bichhad jaana,
Magar khuda ke liye bewafai na karna.

19- Lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
Main Urdu mein ghazal kehta hoon Hindi muskurati hai.

20- Tumhara naam aaya aur hum takne lage raasta,
Tumhari yaad aayi aur khidki khol di humne.
--------------------------------------------
1- मैं इसी मिट्टी से उट्ठा था बगूले की तरह
और फिर इक दिन इसी मिट्टी में मिट्टी मिल गई

2- तमाम जिस्म को आँखें बना के राह तको
तमाम खेल मुहब्बत में इंतज़ार का है

3- वह चाहे मजनूँ हो, फ़रहाद हो कि राँझा हो
हर एक शख़्स मेरा हम सबक़ निकलता है

4- मैंने कल शब चाहतों की सब किताबें फाड़ दीं
सिर्फ़ इक काग़ज़ पे लिक्खा लफ़्ज़-ए-माँ रहने दिया

5- ये ऐसा क़र्ज़ है जो मैं अदा कर ही नहीं सकता
मैं जब तक घर न लौटूँ मेरी माँ सज्दे में रहती है

6- बर्बाद कर दिया हमें परदेस ने मगर
माँ सब से कह रही है कि बेटा मज़े में है

7- तेरे दामन में सितारे हैं तो होंगे ऐ फ़लक
मुझ को अपनी माँ की मैली ओढ़नी अच्छी लगी

8- कल अपने-आप को देखा था माँ की आँखों में
ये आईना हमें बूढ़ा नहीं बताता है

9- जब भी कश्ती मिरी सैलाब में आ जाती है
माँ दुआ करती हुई ख़्वाब में आ जाती है

10- मोहब्बत एक पाकीज़ा अमल है इस लिए शायद
सिमट कर शर्म सारी एक बोसे में चली आई

11- हमारे कुछ गुनाहों की सज़ा भी साथ चलती है
हम अब तन्हा नहीं चलते दवा भी साथ चलती है

12- किसी के ज़ख़्म पर चाहत से पट्टी कौन बाँधेगा
अगर बहनें नहीं होंगी तो राखी कौन बाँधेगा

13- ये सोच के माँ बाप की ख़िदमत में लगा हूँ
इस पेड़ का साया मिरे बच्चों को मिलेगा

14- चलती फिरती हुई आँखों से अज़ाँ देखी है
मैं ने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है

15- सगी बहनों का जो रिश्ता रिश्ता है उर्दू और हिन्दी में
कहीं दुनिया की दो ज़िंदा ज़बानों में नहीं मिलता

16- इतनी तवक़्क़ुआत ज़माने को हमसे है
उतनी तो उम्र भी नहीं लाए लिखा के हम

17- अभी ज़िंदा है माँ मेरी मुझे कुछ भी नहीं होगा
मैं घर से जब निकलता हूँ दुआ भी साथ चलती है

18- जहाँ से जी न लगे तुम वहीं बिछड़ जाना
मगर ख़ुदा के लिए बेवफ़ाई न करना

19- लिपट जाता हूँ माँ से और मौसी मुस्कुराती है
मैं उर्दू मे ग़ज़ल कहता हूँ हिंदी मुस्कुराती है

20- तुम्हारा नाम आया और हम तकने लगे रास्ता
तुम्हारी याद आई और खिड़की खोल दी हमने


Poet - Munawwar Rana
Location: Raebareli, Uttar Pradesh, India
Views: 244