Iftikhar Arif Poetry

junoon ka rang bhi ho shola-e-numoo ka bhi ho | जुनूँ का रंग भी हो शोला-ए-नुमू का भी हो


junoon ka rang bhi ho shola-e-numoo ka bhi ho | जुनूँ का रंग भी हो शोला-ए-नुमू का भी हो

जुनूँ का रंग भी हो शोला-ए-नुमू का भी हो
सुकूत-ए-शब में इक अंदाज़ गुफ़्तुगू का भी हो

मैं जिस को अपनी गवाही में ले के आया हूँ
अजब नहीं कि वही आदमी अदू का भी हो

वो जिस के चाक-ए-गरेबाँ पे तोहमतें हैं बहुत
उसी के हाथ में शायद हुनर रफ़ू का भी हो

वो जिस के डूबते ही नाव डगमगाने लगी
किसे ख़बर वही तारा सितारा-जू का भी हो

सुबूत-ए-मोहकमी-ए-जाँ थी जिस की बुर्रीश-नाज़
उसी की तेग़ से रिश्ता रग-ए-गुलू का भी हो

वफ़ा के बाब में कार-ए-सुख़न तमाम हुआ
मिरी ज़मीन पे इक मा'रका लहू का भी हो

---------------------------------------------------

junoon ka rang bhi ho shola-e-numoo ka bhi ho
sukoot-e-shab mein ik andaaz guftugoo ka bhi ho

main jis ko apni gawaahi mein le ke aaya hoon
ajab nahin ki wahi aadmi adoo ka bhi ho

vo jis ke chaak-e-garebaan pe tohmaten hain bahut
usi ke haath mein shaayad hunar rafu ka bhi ho

vo jis ke doobte hi naav dagmagane lagi
kise khabar wahi taara sitaara-joo ka bhi ho

suboot-e-mohkami-e-jaan thi jis ki burrish-naaz
usi ki teg se rishta rag-e-guloo ka bhi ho

wafa ke baab mein kaar-e-sukhan tamaam hua
meri zameen pe ik ma'arka lahu ka bhi ho 

Poet - Iftikhar Arif
Location: Lucknow, India
Views: 6