Mahboob Khizan Poetry

Main ne kuchh nahin kaha


Main ne kuchh nahin kaha

रात उस को ख़्वाब में देख कर
मैं ने कुछ नहीं कहा

चार साल की थकन जवाँ हुई
तिश्नगी बढ़ के बे-कराँ हुई

हाँ मगर जब आँसुओं की नर्म गर्म ताज़गी
आस-पास दिलकशी बिखर गई

और एक साया सा सिरहाने आ के थम गया
मैं ने ये कहा कि ऐ मिरे ख़ुदा

तू बड़ा रहीम है
उस का दिल दो नीम है

उस के रंग उस के हुस्न को निखार दे
उस के दिल का बोझ उतार दे

तू उसे सुकून दे मुझे जुनून दे
उस के दुख उस के दर्द छीन ले

उस के रोग मुझ को दे
मैं गुनाहगार हूँ

रात उस को ख़्वाब में देख कर
चार साल जैसे फिर उसी तरह गुज़र गए

चार साल किस तरह गुज़र गए
दिल ये सोचता रहा

मैं ने कुछ नहीं कहा

-------------------------------------

Raat usko khwaab mein dekh kar
Main ne kuchh nahin kaha

Chaar saal ki thakan jawaan hui
Tishnagi badh ke be-karaan hui

Haan magar jab aansuon ki narm-garm taazgi
Aas-paas dilkashi bikhar gayi

Aur ek saaya sa sirhaane aa ke tham gaya
Main ne ye kaha ki ai mere Khuda

Tu bada raheem hai
Us ka dil do neem hai

Us ke rang, us ke husn ko nikhaar de
Us ke dil ka bojh utaar de

Tu use sukoon de, mujhe junoon de
Us ke dukh, us ke dard chheen le

Us ke rog mujhko de
Main gunaahgaar hoon

Raat usko khwaab mein dekh kar
Chaar saal jaise phir usi tarah guzar gaye

Chaar saal kis tarah guzar gaye
Dil ye sochta raha

Main ne kuchh nahin kaha

Poet - Mahboob Khizan
Location: Balia, UP, India
Views: 44