Javed Akhtar Poetry

Uljhan Nazm by Javed Akhtar


Uljhan Nazm by Javed Akhtar

करोड़ों चेहरे
और उन के पीछे

करोड़ों चेहरे
ये रास्ते हैं कि भिड़ के छत्ते

ज़मीन जिस्मों से ढक गई है
क़दम तो क्या तिल भी धरने की अब जगह नहीं है

ये देखता हूँ तो सोचता हूँ
कि अब जहाँ हूँ

वहीं सिमट के खड़ा रहूँ मैं
मगर करूँ क्या

कि जानता हूँ
कि रुक गया तो

जो भीड़ पीछे से आ रही है
वो मुझ को पैरों तले कुचल देगी पीस देगी

तो अब जो चलता हूँ मैं
तो ख़ुद मेरे अपने पैरों में आ रहा है

किसी का सीना
किसी का बाज़ू

किसी का चेहरा
चलूँ

तो औरों पे ज़ुल्म ढाऊँ
रुकूँ

तो औरों के ज़ुल्म झेलूँ
ज़मीर

तुझ को तो नाज़ है अपनी मुंसिफ़ी पर
ज़रा सुनूँ तो

कि आज क्या तेरा फ़ैसला है

----------------------------

Karodon chehre
aur un ke peeche

karodon chehre
ye raaste hain ki bheed ke chhatte

zameen jismon se dhak gayi hai
qadam to kya, til bhi dharne ki ab jagah nahi hai

ye dekhta hoon to sochta hoon
ki ab jahaan hoon

wahin simat ke khada rahoon main
magar karoon kya

ki jaanta hoon
ki ruk gaya to

jo bheed peeche se aa rahi hai
vo mujhko pairon tale kuchal degi, pees degi

to ab jo chalta hoon main
to khud mere apne pairon mein aa raha hai

kisi ka seena
kisi ka baazu

kisi ka chehra
chaloon

to auron pe zulm dhaaun
rukoon

to auron ke zulm jheloon
zameer

tujhko to naaz hai apni munsifi par
zara sunoon to

ki aaj kya tera faisla hai

Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 13