Sahir Ludhianvi Poetry

dekha hai zindagi ko kuchh itna qareeb se


dekha hai zindagi ko kuchh itna qareeb se

dekha hai zindagi ko kuchh itna qareeb se
chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se

kehne ko dil ki baat jinhen dhoondte the ham
mehfil mein aa gaye hain vo apne naseeb se

neelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaar
qeemat nahin chukaai gai ik gareeb se

teri wafa ki laash pe la main hi daal doon
resham ka ye kafan jo mila hai raqeeb se 
--------------------------------------
देखा है ज़िंदगी को कुछ इतना क़रीब से
चेहरे तमाम लगने लगे हैं अजीब से

कहने को दिल की बात जिन्हें ढूँडते थे हम
महफ़िल में आ गए हैं वो अपने नसीब से

नीलाम हो रहा था किसी नाज़नीं का प्यार
क़ीमत नहीं चुकाई गई इक ग़रीब से

तेरी वफ़ा की लाश पे ला मैं ही डाल दूँ
रेशम का ये कफ़न जो मिला है रक़ीब से

Poet - Sahir Ludhianvi
Location: Ludhiana, India
Views: 175