Tehzeeb Hafi Poetry

kab paani girne se khushboo footi hai


kab paani girne se khushboo footi hai

kab paani girne se khushboo footi hai
mitti ko bhi ilm hai baarish jhoothi hai

ek rishte ko laaparwaahi le doobi
ek rassi dheeli padne par tooti hai

haath milaane par bhi us pe khula nahin
ye ungli par zakham hai ya angoothi hai

uska hansna naa-mumkin tha yun samjho
seement ki deewaar se kopale footi hai

hamne in par sher nahin likkhe haafi
hamne in pedon ki izzat looti hai

yun lagta hai deen-o-duniya chhoot gaye
mujh se tere shehar ki bas kya chhooti hai 
-----------------------------------------------
कब पानी गिरने से ख़ुशबू फूटी है
मिट्टी को भी इल्म है बारिश झूठी है

एक रिश्ते को लापरवाही ले डूबी
एक रस्सी ढीली पड़ने पर टूटी है

हाथ मिलाने पर भी उस पे खुला नहीं
ये उँगली पर ज़ख़्म है या अँगूठी है

उसका हँसना ना-मुमकिन था यूँ समझो
सीमेंट की दीवार से कोपल फूटी है

हमने इन पर शेर नहीं लिक्खे हाफ़ी
हमने इन पेड़ों की इज़्ज़त लूटी है

यूँ लगता है दीन-ओ-दुनिया छूट गए
मुझ से तेरे शहर की बस क्या छूटी है

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 585