Umair Najmi Poetry

ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga


ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga

ik din zabaan sukoot ki poori banaoonga
main guftugoo ko ghair-zaroori banaoonga

tasveer mein banaoonga dono ke haath aur
dono mein ek haath ki doori banaoonga

muddat samet jumla zawaabit hon tay-shuda
ya'ni ta'alluqaat uboori banaoonga

tujh ko khabar na hogi ki main aas-paas hoon
is baar haaziri ko huzoori banaoonga

rangon pe ikhtiyaar agar mil saka kabhi
teri siyaah putliyaan bhuri banaoonga

jaari hai apni zaat pe tahqeeq aaj-kal
main bhi khala pe ek theory banaoonga

main chaah kar vo shakl mukammal na kar saka
us ko bhi lag raha tha adhuri banaoonga
-----------------------------------
इक दिन ज़बाँ सुकूत की पूरी बनाऊँगा
मैं गुफ़्तुगू को ग़ैर-ज़रूरी बनाऊँगा

तस्वीर में बनाऊँगा दोनों के हाथ और
दोनों में एक हाथ की दूरी बनाऊँगा

मुद्दत समेत जुमला ज़वाबित हों तय-शुदा
या'नी तअ'ल्लुक़ात उबूरी बनाऊँगा

तुझ को ख़बर न होगी कि मैं आस-पास हूँ
इस बार हाज़िरी को हुज़ूरी बनाऊँगा

रंगों पे इख़्तियार अगर मिल सका कभी
तेरी सियाह पुतलियाँ भूरी बनाऊँगा

जारी है अपनी ज़ात पे तहक़ीक़ आज-कल
मैं भी ख़ला पे एक थ्योरी बनाऊँगा

मैं चाह कर वो शक्ल मुकम्मल न कर सका
उस को भी लग रहा था अधूरी बनाऊँगा


Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 669