Umair Najmi Poetry

Bas ik usi pe to poori tarah ayaan hoon main


Bas ik usi pe to poori tarah ayaan hoon main

bas ik usi pe to poori tarah ayaan hoon main
vo kah raha hai mujhe raigaan to haan hoon main

jise dikhaai doon meri taraf ishaara kare
mujhe dikhaai nahin de raha kahaan hoon main

idhar-udhar se nami ka risaav rehta hai
sadak se neeche banaya gaya makaan hoon main

kisi ne poocha ki tum kaun ho to bhool gaya
abhi kisi ne bataaya to tha falan hoon main

main khud ko tujh se mitaaounga ehtiyaat ke saath
tu bas nishaan laga de jahaan jahaan hoon main

main kis se poochhun ye rasta durust hai ki galat
jahaan se koi guzarta nahin vahaan hoon main
-------------------------------------------
बस इक उसी पे तो पूरी तरह अयाँ हूँ मैं
वो कह रहा है मुझे राइगाँ, तो हाँ हूँ मैं।

जिसे दिखाऊँ, मेरी तरफ़ इशारा करे,
मुझे दिखाई नहीं दे रहा, कहाँ हूँ मैं।

इधर-उधर से नमी का रिसाव रहता है,
सड़क से नीचे बनाया गया मकान हूँ मैं।

किसी ने पूछा कि तुम कौन हो, तो भूल गया,
अभी किसी ने बताया तो था, फ़लाँ हूँ मैं।

मैं ख़ुद को तुझसे मिटाऊँगा एहतियात के साथ,
तू बस निशान लगा दे जहाँ-जहाँ हूँ मैं।

मैं किससे पूछूँ ये रास्ता दुरुस्त है कि ग़लत,
जहाँ से कोई गुज़रता नहीं, वहाँ हूँ मैं।


Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 630