Iftikhar Arif Poetry

umeed-o-beem ke mehwar se hat ke dekhte hain | उमीद-ओ-बीम के मेहवर से हट के देखते हैं


umeed-o-beem ke mehwar se hat ke dekhte hain | उमीद-ओ-बीम के मेहवर से हट के देखते हैं

उमीद-ओ-बीम के मेहवर से हट के देखते हैं
ज़रा सी देर को दुनिया से कट के देखते हैं

बिखर चुके हैं बहुत बाग़ ओ दश्त ओ दरिया में
अब अपने हुजरा-ए-जाँ में सिमट के देखते हैं

तमाम ख़ाना-ब-दोशों में मुश्तरक है ये बात
सब अपने अपने घरों को पलट के देखते हैं

फिर इस के बा'द जो होना है हो रहे सर-ए-दस्त
बिसात-ए-आफ़ियत-ए-जाँ उलट के देखते हैं

वही है ख़्वाब जिसे मिल के सब ने देखा था
अब अपने अपने क़बीलों में बट के देखते हैं

सुना ये है कि सुबुक हो चली है क़ीमत-ए-हर्फ़
सो हम भी अब क़द-ओ-क़ामत में घट के देखते हैं

--------------------------------

umeed-o-beem ke mehwar se hat ke dekhte hain
zara si der ko duniya se kat ke dekhte hain

bikhar chuke hain bahut baagh o dasht o dariya mein
ab apne hujra-e-jaan mein simat ke dekhte hain

tamaam khaana-b-doshon mein mushtarik hai ye baat
sab apne apne gharo ko palat ke dekhte hain

phir is ke ba'ad jo hona hai ho rahe sar-e-dast
bisaat-e-aafiyat-e-jaan ult ke dekhte hain

wahi hai khwaab jise mil ke sab ne dekha tha
ab apne apne qabeelon mein bat ke dekhte hain

suna ye hai ki subuk ho chali hai qiimat-e-harf
so ham bhi ab qad-o-qamat mein ghat ke dekhte hain

Poet - Iftikhar Arif
Location: Lucknow, India
Views: 4