1. Top 20 most famous Shayari of Bashir Badr..

1- Saat sandukon mein bhar kar dafn kar do nafratein,
Aaj insaan ko mohabbat ki zarurat hai bahut.

2- Gale mein us ke Khuda ki ajeeb barkat hai,
Woh bolta hai to ek roshni si hoti hai.

3- Miri ghazal ki tarah us ki bhi hukoomat hai,
Tamaam mulk mein woh sab se khoobsurat hai.

4- Insaan apne aap mein majboor hai bahut,
Koi nahin hai bewafa, afsos mat karo.

5- Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega,
Itna mat chaaho use, woh bewafa ho jayega.

6- Kuch to majbooriyan rahi hongi,
Yun koi bewafa nahin hota.

7- Main chahta hoon ki tum hi mujhe ijaazat do,
Tumhari tarah se koi gale lagaye mujhe.

8- Chaand sa misra akela hai mere kaagaz par,
Chhat pe aa jao mera sher mukammal kar do.

9- Itni milti hai meri ghazalon se soorat teri,
Log tujhe mera mehboob samajhte honge.

10- Zindagi tune mujhe qabr se kam di hai zameen,
Paon phelaun to deewaar mein sar lagta hai.

11- Tum mohabbat ko khel kehte ho,
Humne barbaad zindagi kar li.

12- Hum to kuch der hans bhi lete hain,
Dil hamesha udaas rehta hai.

13- Khuda ki itni badi kainaat mein maine,
Bas ek shaks ko manga, mujhe wahi na mila.

14- Jis par hamari aankh ne moti bichae raat bhar,
Bheja wahi kaagaz use, humne likha kuch bhi nahin.

15- Kaagaz mein dab ke mar gaye keede kitaab ke,
Deewana be-padhe-likhe mashhoor ho gaya.

16- Saath chalte ja rahe hain, paas aa sakte nahin,
Ek nadi ke do kinaaron ko mila sakte nahin.

17- Chaand chehra, zulf dariya, baat khushboo, dil chaman,
Ek tumhe de kar Khuda ne de diya kya kya mujhe.

18- Agar fursat mile paani ki tahreeron ko padh lena,
Har ek dariya hazaron saal ka afsana likhta hai.

19- Lahja ki jaise subah ki khushboo azaan de,
Jee chahta hai main teri awaaz choom loon.

20- Yeh parinde bhi kheton ke mazdoor hain,
Laut ke apne ghar shaam tak jayenge.
------------------------------------------
1- सात संदूक़ों में भर कर दफ़्न कर दो नफ़रतें
आज इंसाँ को मोहब्बत की ज़रूरत है बहुत

2- गले में उस के ख़ुदा की अजीब बरकत है
वो बोलता है तो इक रौशनी सी होती है

3- मिरी ग़ज़ल की तरह उस की भी हुकूमत है
तमाम मुल्क में वो सब से ख़ूबसूरत है

4- इंसान अपने आप में मजबूर है बहुत
कोई नहीं है बेवफ़ा अफ़्सोस मत करो

5- सर झुकाओगे तो पत्थर देवता हो जाएगा
इतना मत चाहो उसे वो बेवफ़ा हो जाएगा

6- कुछ तो मजबूरियाँ रही होंगी
यूँ कोई बेवफ़ा नहीं होता

7- मैं चाहता हूँ कि तुम ही मुझे इजाज़त दो
तुम्हारी तरह से कोई गले लगाए मुझे

8- चाँद सा मिस्रा अकेला है मिरे काग़ज़ पर
छत पे आ जाओ मिरा शेर मुकम्मल कर दो

9- इतनी मिलती है मिरी ग़ज़लों से सूरत तेरी
लोग तुझ को मिरा महबूब समझते होंगे

10- ज़िंदगी तू ने मुझे क़ब्र से कम दी है ज़मीं
पाँव फैलाऊँ तो दीवार में सर लगता है

11- तुम मोहब्बत को खेल कहते हो
हम ने बर्बाद ज़िंदगी कर ली

12- हम तो कुछ देर हँस भी लेते हैं
दिल हमेशा उदास रहता है

13- ख़ुदा की इतनी बड़ी काएनात में मैं ने
बस एक शख़्स को माँगा मुझे वही न मिला

14- जिस पर हमारी आँख ने मोती बिछाए रात भर
भेजा वही काग़ज़ उसे हम ने लिखा कुछ भी नहीं

15- काग़ज़ में दब के मर गए कीड़े किताब के
दीवाना बे-पढ़े-लिखे मशहूर हो गया

16- साथ चलते जा रहे हैं पास आ सकते नहीं
इक नदी के दो किनारों को मिला सकते नहीं

17- चाँद चेहरा ज़ुल्फ़ दरिया बात ख़ुशबू दिल चमन
इक तुम्हें दे कर ख़ुदा ने दे दिया क्या क्या मुझे

18- अगर फ़ुर्सत मिले पानी की तहरीरों को पढ़ लेना
हर इक दरिया हज़ारों साल का अफ़्साना लिखता है

19- लहजा कि जैसे सुब्ह की ख़ुश्बू अज़ान दे
जी चाहता है मैं तिरी आवाज़ चूम लूँ

20- ये परिंदे भी खेतों के मज़दूर हैं
लौट के अपने घर शाम तक जाएँगे
Read more

2. Top 20 most famous Shayari of Bashir Badra..

1kuchh to majburiyan rahi hongi 
yuun koi bevafa nahin hota 

2.ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e

3.na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
ba.Dii aarzuu thii mulaaqaat kii

4.tum mohabbat ko khel kahte ho
ham ne barbaad zindagii kar lii

5.mohabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n miltaa to haath bhii na milaa

6.vo chehra kitabi raha samne 
baḌi ḳhubsurat paḌha.i hui 

7.ba.De logo.n se milne me.n hamesha faasla rakhnaa
jahaa.n dariyaa samundar se milaa dariyaa nahii.n rahtaa

8.musaafir hai.n ham bhii musaafir ho tum bhii
kisii mo.D par phir mulaaqaat hogii

9.har dha.Dakte patthar ko log dil samajhte hai.n
umre.n biit jaatii hai.n dil ko dil banaane me.n

10.sar jhukaa.oge to patthar devtaa ho jaa.egaa
itnaa mat chaaho use vo bevafaa ho jaa.egaa

11.tumhe.n zaruur ko.ii chaahato.n se dekhegaa
magar vo aa.nkhe.n hamaarii kahaa.n se laa.egaa

12.dushmanii jam kar karo lekin ye gunjaa.ish rahe
jab kabhii ham dost ho jaa.e.n to sharminda na ho.n

13.bhuul shaayad bahut ba.Dii kar lii
dil ne duniyaa se dostii kar lii

14.yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de

15.patthar mujhe kahtaa hai miraa chaahne vaalaa
mai.n mom huu.n us ne mujhe chhuu kar nahii.n dekhaa

16.KHudaa kii itnii ba.Dii kaa.enaat me.n mai.n ne
bas ek shaKHs ko maa.ngaa mujhe vahii na milaa

17.itnii miltii hai mirii Gazlo.n se suurat terii
log tujh ko miraa mahbuub samajhte ho.nge

18.KHudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaa.ii na de

19.jii bahut chaahtaa hai sach bole.n
kyaa kare.n hausla nahii.n hotaa

20.zindagii tuu ne mujhe qabr se kam dii hai zamii.n
paa.nv phailaa.uu.n to diivaar me.n sar lagtaa hai
Read more