Bashir Badr Poetry

Meri aankhon mein tere pyaar ka aansoo aaye


Meri aankhon mein tere pyaar ka aansoo aaye

Meri aankhon mein tere pyaar ka aansoo aaye
Koi khushboo main lagaoon, teri khushboo aaye

Waqt-e-rukhsat kahin taare, kahin jugnu aaye
Haar pehnane mujhe phool se baazu aaye

Maine din-raat Khuda se yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar par mere jab tu aaye

In dino aap ka aalam bhi ajab aalam hai
Teer khaya hua jaise koi aahoo aaye

Uski baatein ki gul-o-lala pe shabnam barse
Sab ko apnane ka us shokh ko jaadu aaye

Usne chhoo kar mujhe patthar se phir insaan kiya
Muddaton baad meri aankhon mein aansoo aaye
-------------------------------------------
मेरी आंखों में तिरे प्यार का आंसू आए
कोई ख़ुशबू मैं लगाऊंतिरी ख़ुशबू आए

वक़्त-ए-रुख़्सत कहीं तारे कहीं जुगनू आए
हार पहनाने मुझे फूल से बाज़ू आए

मैं ने दिन रात ख़ुदा से ये दुआ मांगी थी
कोई आहट न हो दर पर मिरे जब तू आए

इन दिनों आप का आलम भी अजब आलम है
तीर खाया हुआ जैसे कोई आहू आए

उस की बातें कि गुल-ओ-लाला पे शबनम बरसे
सब को अपनाने का उस शोख़ को जादू आए

उस ने छू कर मुझे पत्थर से फिर इंसान किया
मुद्दतों बाद मिरी आंखों में आंसू आए

Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 787