Bashir Badr Poetry

Sau khuloos baaton mein, sab karam khayalon mein


Sau khuloos baaton mein, sab karam khayalon mein

Sau khuloos baaton mein, sab karam khayalon mein
Bas zara wafaa kam hai tere shehar waalon mein

Pehli baar nazron ne chaand bolte dekha
Hum jawaab kya dete, kho gaye sawaalon mein

Raat teri yaadon ne dil ko is tarah chheda
Jaise koi chutki le narm-narm gaalon mein

Yoon kisi ki aankhon mein subah tak abhi the hum
Jis tarah rahe shabnam phool ke pyaalon mein

Meri aankh ke taare ab na dekh paoge
Raat ke musaafir the, kho gaye ujaalon mein

Jaise aadhi shab ke baad chaand neend mein chaunke
Woh gulaab ki jumbish un siyaah baalon mein
------------------------------------------------
सौ ख़ुलूस बातों में सब करम ख़यालों में
बस ज़रा वफ़ा कम है तेरे शहर वालों में

पहली बार नज़रों ने चाँद बोलते देखा
हम जवाब क्या देते खो गए सवालों में

रात तेरी यादों ने दिल को इस तरह छेड़ा
जैसे कोई चुटकी ले नर्म नर्म गालों में

यूँ किसी की आँखों में सुब्ह तक अभी थे हम
जिस तरह रहे शबनम फूल के प्यालों में

मेरी आँख के तारे अब न देख पाओगे
रात के मुसाफ़िर थे खो गए उजालों में

जैसे आधी शब के बा'द चाँद नींद में चौंके
वो गुलाब की जुम्बिश उन सियाह बालों में


Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 36