Bashir Badr Poetry

All Time Most Famous Ghazals Of Bashir badr


All Time Most Famous Ghazals Of Bashir badr

1- Sar se paa tak wo gulaabon ka shajar lagta hai
Ba-wazu ho ke bhi chhoote hue dar lagta hai

Main tire saath sitaaron se guzar sakta hoon
Kitna aasaan mohabbat ka safar lagta hai

Mujh mein rehta hai koi dushman-e-jani mera
Khud se tanhai mein milte hue dar lagta hai

But bhi rakhe hain, namazen bhi ada hoti hain
Dil mera dil nahi, Allah ka ghar lagta hai


2- Zindagi tune mujhe qabr se kam di hai zameen
Paav failaun to deewaar mein sar lagta hai

Log toot jaate hain ek ghar banane mein
Tum taras nahi khaate bastiyan jalane mein

Aur jaam tootenge is sharaab-khane mein
Mausamon ke aane mein, mausamon ke jaane mein

Har dhadakte pathar ko log dil samajhte hain
Umrein beet jaati hain dil ko dil banane mein

Fakhta ki majboori yeh bhi keh nahi sakti
Kaun saanp rakhta hai us ke aashiyane mein

Doosri koi ladki zindagi mein aayegi
Kitni der lagti hai usko bhool jaane mein


3- Mohabbaton mein dikhave ki dosti na mila
Agar gale nahi milta to haath bhi na mila

Gharon pe naam the, naamon ke saath ohde the
Bahut talaash kiya koi aadmi na mila

Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
Phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila

Khuda ki itni badi kainaat mein maine
Bas ek shaks ko maanga, mujhe wahi na mila

Bahut ajeeb hai yeh qurbaton ki doori bhi
Woh mere saath raha aur mujhe kabhi na mila


4- Aankhon mein raha, dil mein utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samundar nahi dekha

Be-waqt agar jaaunga sab chonk padenge
Ek umr hui din mein kabhi ghar nahi dekha

Jis din se chala hoon, meri manzil pe nazar hai
Aankhon ne kabhi meel ka pathar nahi dekha

Yeh phool mujhe koi virasat mein mile hain
Tum ne mera kaanton bhara bistar nahi dekha

Yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine
Phoolon mein chhupaya hua khanjar nahi dekha

Mahboob ka ghar ho ki buzurgon ki zameenein
Jo chhod diya, phir usse mud kar nahi dekha

Khat aisa likha hai ki nageene se jade hain
Wo haath ke jisne koi zewar nahi dekha

Pathar mujhe kehta hai mera chahne wala
Main mom hoon, usne mujhe chho kar nahi dekha


5- Hamara dil savere ka sunahara jaam ho jaaye
Charagon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaaye

Kabhi to aasman se chaand utare, jaam ho jaaye
Tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye

Ajab haalaat the, yun dil ka sauda ho gaya aakhir
Mohabbat ki haveli jis tarah neelam ho jaaye

Samundar ke safar mein is tarah awaaz de hum ko
Hawayein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye

Mujhe maloom hai uska thikana phir kahan hoga
Parinda aasman chhoone mein jab nakaam ho jaaye

Ujale apni yaadon ke hamare saath rehne do
Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
------------------------------------------------
1- सर से पा तक वो गुलाबों का शजर लगता है
बा-वज़ू हो के भी छूते हुए डर लगता है

मैं तिरे साथ सितारों से गुज़र सकता हूँ
कितना आसान मोहब्बत का सफ़र लगता है

मुझ में रहता है कोई दुश्मन-ए-जानी मेरा
ख़ुद से तन्हाई में मिलते हुए डर लगता है

बुत भी रक्खे हैं नमाज़ें भी अदा होती हैं
दिल मेरा दिल नहीं अल्लाह का घर लगता है


2- ज़िंदगी तूने मुझे क़ब्र से कम दी है ज़मीं
पांव फैलाऊं तो दीवार में सर लगता है

लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में
तुम तरस नहीं खाते बस्तियां जलाने में

और जाम टूटेंगे इस शराब-ख़ाने में
मौसमों के आने में मौसमों के जाने में

हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं
उम्रें बीत जाती हैं दिल को दिल बनाने में

फ़ाख़्ता की मजबूरी ये भी कह नहीं सकती
कौन सांप रखता है उस के आशियाने में

दूसरी कोई लड़की ज़िंदगी में आएगी
कितनी देर लगती है उस को भूल जाने में


3- मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला

घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला

तमाम रिश्तों को मैं घर पे छोड़ आया था
फिर उस के बा'द मुझे कोई अजनबी न मिला

ख़ुदा की इतनी बड़ी कायनात में मैंने
बस एक शख़्स को मांगा मुझे वही न मिला

बहुत अजीब है ये क़ुर्बतों की दूरी भी
वो मेरे साथ रहा और मुझे कभी न मिला


4- आंखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा 
कश्ती के मुसाफ़िर ने समुंदर नहीं देखा 

बे-वक़्त अगर जाऊंगा सब चौंक पड़ेंगे 
इक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा 

जिस दिन से चला हूं मेरी मंज़िल पे नज़र है 
आंखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा 
ये फूल मुझे कोई विरासत में मिले हैं 
तुम ने मेरा काँटों भरा बिस्तर नहीं देखा 

यारों की मोहब्बत का यक़ीं कर लिया मैंने 
फूलों में छुपाया हुआ ख़ंजर नहीं देखा 

महबूब का घर हो कि बुज़ुर्गों की ज़मीनें 
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा
ख़त ऐसा लिखा है कि नगीने से जड़े हैं 
वो हाथ कि जिसने कोई ज़ेवर नहीं देखा 

पत्थर मुझे कहता है मेरा चाहने वाला 
मैं मोम हूं उसने मुझे छूकर नहीं देखा 


5- हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाए
चराग़ों की तरह आँखें जलें जब शाम हो जाए

कभी तो आसमाँ से चाँद उतरे जाम हो जाए
तुम्हारे नाम की इक ख़ूब-सूरत शाम हो जाए

अजब हालात थे यूँ दिल का सौदा हो गया आख़िर
मोहब्बत की हवेली जिस तरह नीलाम हो जाए

समुंदर के सफ़र में इस तरह आवाज़ दे हम को
हवाएँ तेज़ हों और कश्तियों में शाम हो जाए

मुझे मालूम है उस का ठिकाना फिर कहाँ होगा
परिंदा आसमाँ छूने में जब नाकाम हो जाए

उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो
न जाने किस गली में ज़िंदगी की शाम हो जाए


Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 223