Bashir Badr Poetry

Na ji bhar ke dekha, na kuch baat ki


Na ji bhar ke dekha, na kuch baat ki

Na ji bhar ke dekha, na kuch baat ki
Badi aarzoo thi mulaqaat ki

Ujaalon ki pariyan nahaane lagin
Nadi gun-gunayi khayalaat ki

Main chup tha to chalti hawa ruk gayi
Zubaan sab samajhte hain jazbaat ki

Muqaddar meri chashm-e-pur-aab ka
Barasti hui raat barsaat ki

Kai saal se kuch khabar hi nahin
Kahaan din guzara, kahaan raat ki
-----------------------------------
न जी भर के देखा न कुछ बात की
बड़ी आरज़ू थी मुलाक़ात की

उजालों की परियाँ नहाने लगीं
नदी गुनगुनाई ख़यालात की

मैं चुप था तो चलती हवा रुक गई
ज़बाँ सब समझते हैं जज़्बात की

मुक़द्दर मिरी चश्म-ए-पुर-आब का
बरसती हुई रात बरसात की

कई साल से कुछ ख़बर ही नहीं
कहाँ दिन गुज़ारा कहाँ रात की

Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 83