Bashir Badr Poetry

Kahin chaand raahon mein kho gaya, kahin chaandni bhi bhatak gayi


Kahin chaand raahon mein kho gaya, kahin chaandni bhi bhatak gayi

Kahin chaand raahon mein kho gaya, kahin chaandni bhi bhatak gayi
Main chiraagh, wo bhi bujha hua, meri raat kaise chamak gayi

Meri daastan ka urooj tha, teri narm palkon ki chhaon mein
Mere saath tha tujhe jagna, teri aankh kaise jhapak gayi

Bhalla hum mile bhi to kya mile, wahi dooriyan wahi faasle
Na kabhi humare qadam badhe, na kabhi tumhari jhijhak gayi

Tere haath se mere honth tak, wahi intezaar ki pyaas hai
Mere naam ki jo sharaab thi, kahin raste mein chalak gayi

Tujhe bhool jaane ki koshishen kabhi kaamyaab na ho sakin
Teri yaad shaakh-e-gulaab hai, jo hawa chali to lachak gayi
-------------------------------------------------------------
कहीं चाँद राहों में खो गया कहीं चाँदनी भी भटक गई 
मैं चराग़ वो भी बुझा हुआ मेरी रात कैसे चमक गई 

मिरी दास्ताँ का उरूज था तिरी नर्म पलकों की छाँव में 
मिरे साथ था तुझे जागना तिरी आँख कैसे झपक गई 

भला हम मिले भी तो क्या मिले वही दूरियाँ वही फ़ासले 
न कभी हमारे क़दम बढ़े न कभी तुम्हारी झिजक गई 

तिरे हाथ से मेरे होंट तक वही इंतिज़ार की प्यास है 
मिरे नाम की जो शराब थी कहीं रास्ते में छलक गई 

तुझे भूल जाने की कोशिशें कभी कामयाब न हो सकीं 
तिरी याद शाख़-ए-गुलाब है जो हवा चली तो लचक गई

Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 47