Tehzeeb Hafi Poetry

vaise main ne duniya mein kya dekha hai


vaise main ne duniya mein kya dekha hai

vaise main ne duniya mein kya dekha hai
tum kahte ho to phir achha dekha hai

main us ko apni vehshat tohfe mein doon
haath uthaaye jis ne sehra dekha hai

bin dekhe us ki tasveer bana loonga
aaj to main ne us ko itna dekha hai

ek nazar mein manzar kab khulte hain dost
tu ne dekha bhi hai to kya dekha hai

ishq mein banda mar bhi saka hai main ne
dil ki dastaavez mein likha dekha hai

main to aankhen dekh ke hi batla doonga
tum mein se kis kis ne dariya dekha hai

aage seedhe haath pe ek taraai hai
main ne pehle bhi ye rasta dekha hai

tum ko to is baagh ka naam pata hoga
tum ne to is shehar ka naqsha dekha hai 
-----------------------------------------
वैसे मैं ने दुनिया में क्या देखा है
तुम कहते हो तो फिर अच्छा देखा है

मैं उस को अपनी वहशत तोहफ़े में दूँ
हाथ उठाए जिस ने सहरा देखा है

बिन देखे उस की तस्वीर बना लूँगा
आज तो मैं ने उस को इतना देखा है

एक नज़र में मंज़र कब खुलते हैं दोस्त
तू ने देखा भी है तो क्या देखा है

इश्क़ में बंदा मर भी सकता है मैं ने
दिल की दस्तावेज़ में लिखा देखा है

मैं तो आँखें देख के ही बतला दूँगा
तुम में से किस किस ने दरिया देखा है

आगे सीधे हाथ पे एक तराई है
मैं ने पहले भी ये रस्ता देखा है

तुम को तो इस बाग़ का नाम पता होगा
तुम ने तो इस शहर का नक़्शा देखा है

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 43