Tehzeeb Hafi Poetry

shaitaan ke dil par chalta hoon seenon mein safar karta hoon


shaitaan ke dil par chalta hoon seenon mein safar karta hoon

shaitaan ke dil par chalta hoon seenon mein safar karta hoon
us aankh ka kya bachta hai mai jis aankh mein ghar karta hoon

jo mujh mein utre hain unko meri lehron ka andaaza hai
daryaao mein uthata baithta hoon sailaab basar karta hoon

meri tanhaai ka bojh tumhaari binaai le doobega
mujhe itna qareeb se mat dekho aankhon par asar karta hoon 
---------------------------------------------------
शैतान के दिल पर चलता हूं सीनों में सफर करता हूं
उस आंख का क्या बचता है मै जिस आंख में घर करता हूं

जो मुझ में उतरे हैं उनको मेरी लहरों का अंदाजा है
दरियाओ में उठता बैठता हूं सैलाब बसर करता हूं

मेरी तन्हाई का बोझ तुम्हारी बिनाई ले डूबेगा
मुझे इतना करीब से मत देखो आंखों पर असर करता हूं

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 195