Shahid Jaki Poetry

Top 20 most famous Shayari of shahid zaki


Top 20 most famous Shayari of shahid zaki

1- Ye mujhe neend mein chalne ki jo bimaari hai
Mujh ko ek khwaab-sara apni taraf kheenchti hai

2- Mere gunaah ki mujh ko sazaa nahi deta
Mera Khuda kahin naaraaz toh nahi mujh se

3- Us ek khat ne sukhanwar bana diya mujh ko
Wo ek khat jo likha nahi gaya mujh se

4- Wo naa-samajh mujhe patthar samajh ke chhod gaya
Wo chahta toh sitaare tarashta mujh se

5- Ai aasman, teri inayat baja magar
Faslein pakki hui hon toh baarish fazool hai

6- Kisi ne kaha tha tooti hui naav mein chalo
Dariya ke saath aap ki ranjish fazool hai

7- Itna masroof hoon jeene ki havas mein 'Shahid'
Saans lene ki bhi fursat nahi hoti mujh ko

8- Aisa badla hoon tere shehar ka paani pee kar
Jhoot bolun toh nadaamat nahi hoti mujh ko

9- Main toh khud bikne ko bazaar mein aaya hua hoon
Aur dukandaar kharidaar samajhte hain mujhe

10- Main aap apni maut ki taiyariyon mein hoon
Mere khilaf aap ki saazish fazool hai

11- Main badalte hue haalaat mein dhal jaata hoon
Dekhne wale adakaar samajhte hain mujhe

12- Laashon mein ek laash meri bhi na ho kahin
Takta hoon ek ek ko chadar utha ke main

13- Ho na ho ek hi tasveer ke do pehlu hain
Raqs karta hua tu, aag mein jalta hua main

14- Yaar bhi raah ki deewar samajhte hain mujhe
Main samajhta tha mere yaar samajhte hain mujhe

15- Raat si neend hai, mahtaab utaara jaaye
Ai Khuda, mujh mein zar-e-khwaab utaara jaaye

16- Zabt-e-gham hai meri poshaak, meri izzat rakh
Aatish-e-deeda-e-namnak, meri izzat rakh

17- Zar-e-sarishk faza mein uchhalta hua main
Bikhar chala hoon, khushi ko sambhalta hua main

18- Kya kahun kaise iztiraar mein hoon
Main dhuaan ho ke bhi hisaar mein hoon

19- Main apne hisse ki tanhaai mehfil se nikaalunga
Jo la-haasil zaroori hai, toh haasil se nikaalunga

20- Zanjeer kat ke kya giri aadhe safar ke beech
Main sar pakad ke baith gaya rahguzar ke beech
----------------------------------------
1- ये मुझे नींद में चलने की जो बीमारी है
मुझ को इक ख़्वाब-सरा अपनी तरफ़ खींचती है

2- मिरे गुनाह की मुझ को सज़ा नहीं देता
मिरा ख़ुदा कहीं नाराज़ तो नहीं मुझ से

3- उस एक ख़त ने सुखनवर बना दिया मुझ को
वो एक ख़त कि जो लिक्खा नहीं गया मुझ से

4- वो ना-समझ मुझे पत्थर समझ के छोड़ गया
वो चाहता तो सितारे तराशता मुझ से

5- ऐ आसमान तेरी इनायत बजा मगर
फ़स्लें पकी हुई हों तो बारिश फ़ुज़ूल है

6- किसी ने कहा था टूटी हुई नाव में चलो
दरिया के साथ आप की रंजिश फ़ुज़ूल है

7- इतना मसरूफ़ हूँ जीने की हवस में 'शाहिद'
साँस लेने की भी फ़ुर्सत नहीं होती मुझ को

8- ऐसा बदला हूँ तिरे शहर का पानी पी कर
झूट बोलूँ तो नदामत नहीं होती मुझ को

9- मैं तो ख़ुद बिकने को बाज़ार में आया हुआ हूँ
और दुकाँ-दार ख़रीदार समझते हैं मुझे

10- मैं आप अपनी मौत की तय्यारियों में हूँ
मेरे ख़िलाफ़ आप की साज़िश फ़ुज़ूल है

11- मैं बदलते हुए हालात में ढल जाता हूँ
देखने वाले अदाकार समझते हैं मुझे

12- लाशों में एक लाश मिरी भी न हो कहीं
तकता हूँ एक एक को चादर उठा के मैं

13- हो न हो एक ही तस्वीर के दो पहलू हैं
रक़्स करता हुआ तू आग में जलता हुआ मैं

14- यार भी राह की दीवार समझते हैं मुझे
मैं समझता था मेरे यार समझते हैं मुझे

15- रात सी नींद है महताब उतारा जाए
ऐ ख़ुदा मुझ में ज़र-ए-ख़्वाब उतारा जाए

16- ज़ब्त-ए-ग़म है मिरी पोशाक मिरी इज़्ज़त रख
आतिश-ए-दीदा-ए-नमनाक मिरी इज़्ज़त रख

17- ज़र-ए-सरिश्क फ़ज़ा में उछालता हुआ मैं
बिखर चला हूँ ख़ुशी को सँभालता हुआ मैं

18- क्या कहूँ कैसे इज़्तिरार में हूँ
मैं धुआँ हो के भी हिसार में हूँ

19- मैं अपने हिस्से की तन्हाई महफ़िल से निकालूँगा
जो ला-हासिल ज़रूरी है तो हासिल से निकालूँगा

20- ज़ंजीर कट के क्या गिरी आधे सफ़र के बीच
मैं सर पकड़ के बैठ गया रहगुज़र के बीच

Poet - Shahid Jaki
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 191