Asrar ul Haque Majaz Poetry

Jigar aur dil ko bachana bhi hai


Jigar aur dil ko bachana bhi hai

jigar aur dil ko bachana bhi hai
nazar aap hi se milana bhi hai

mohabbat ka har bhed paana bhi hai
magar apna daman bachana bhi hai

jo dil tere ġham ka nishana bhi hai
qatil-e-jafa-e-zamana bhi hai

ye bijli chamakti hai kyuun dam-ba-dam
chaman men koi ashiyana bhi hai

ḳhirad ki itaat zaruri sahi
yahi to junun ka zamana bhi hai

na duniya na uqba kahan jaiye
kahin ahl-e-dil ka Thikana bhi hai

mujhe aaj sāhil pe rone bhi do
ki tufan men muskurana bhi hai

zamane se aage to badhiye 'majaz'
zamane ko aage badhana bhi hai
-----------------------------------
जिगर और दिल को बचाना भी है,
नज़र आप ही से मिलाना भी है।

मोहब्बत का हर भेद पाना भी है,
मगर अपना दामन बचाना भी है।

जो दिल तेरे ग़म का निशाना भी है,
क़ातिल-ए-जफ़ा-ए-जमाना भी है।

ये बिजली चमकती है क्यों दम-बह-दम,
चमन में कोई आशियाना भी है।

फिरद की इति'आत ज़रूरी सही,
यही तो जुनून का ज़माना भी है।

ना दुनिया ना उक़बा कहाँ जाइए,
कहीं अहल-ए-दिल का ठिकाना भी है।

मुझे आज साहिल पे रोने भी दो,
कि तूफ़ान में मुस्कुराना भी है।

ज़माने से आगे तो बढ़िए 'मजाज़',
ज़माने को आगे बढ़ाना भी है।


Poet - Asrar ul Haque Majaz
Location: Barabanki, Uttar pradesh
Views: 244