Hakeem Nasir Poetry

Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai


Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai

जब से तू ने मुझे दीवाना बना रक्खा है
संग हर शख़्स ने हाथों में उठा रक्खा है

उस के दिल पर भी कड़ी इश्क़ में गुज़री होगी
नाम जिस ने भी मोहब्बत का सज़ा रक्खा है

पत्थरो आज मिरे सर पे बरसते क्यूँ हो
मैं ने तुम को भी कभी अपना ख़ुदा रक्खा है

अब मिरी दीद की दुनिया भी तमाशाई है
तू ने क्या मुझ को मोहब्बत में बना रक्खा है

पी जा अय्याम की तल्ख़ी को भी हँस कर 'नासिर'
ग़म को सहने में भी क़ुदरत ने मज़ा रक्खा है
------------------------------------------
Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai
Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai

Us ke dil par bhi kadi ishq mein guzri hogi
Naam jis ne bhi mohabbat ka sazaa rakha hai

Pattharo aaj mere sar pe baraste kyun ho
Main ne tum ko bhi kabhi apna Khuda rakha hai

Ab meri deed ki duniya bhi tamashai hai
Tu ne kya mujh ko mohabbat mein bana rakha hai

Pee ja ayyaam ki talkhi ko bhi hans kar 'Nasir'
Gham ko sehne mein bhi qudrat ne mazaa rakha hai

Poet - Hakeem Nasir
Location: Ajmer, Rajasthan
Views: 157