Allama Iqbal Poetry

ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamaana


ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamaana

ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamaana
toota hai asia mein sehr-e-firangiyaana

taameer-e-aashiyaa se main ne ye raaz paaya
ahl-e-nava ke haq mein bijli hai aashiyana

ye bandagi khudaai vo bandagi gadaai
ya banda-e-khuda ban ya banda-e-zamaana

ghaafil na ho khudi se kar apni paasbaani
shaayad kisi haram ka tu bhi hai aastaana

ai la ilaah ke waaris baaki nahin hai tujh mein
guftaar-e-dilbaraana kirdaar-e-qaahiraana

teri nigaah se dil seenon mein kaanpate the
khoya gaya hai tera jazb-e-qalandaaraana

raaz-e-haram se shaayad iqbaal ba-khabar hai
hain is ki guftugoo ke andaaz mehraamaana 
-----------------------------------------
एजाज़ है किसी का या गर्दिश-ए-ज़माना
टूटा है एशिया में सेहर-ए-फ़िरंगियाना

तामीर-ए-आशियाँ से मैं ने ये राज़ पाया
अह्ल-ए-नवा के हक़ में बिजली है आशियाना

ये बंदगी ख़ुदाई वो बंदगी गदाई
या बंदा-ए-ख़ुदा बन या बंदा-ए-ज़माना

ग़ाफ़िल न हो ख़ुदी से कर अपनी पासबानी
शायद किसी हरम का तू भी है आस्ताना

ऐ ला इलाह के वारिस बाक़ी नहीं है तुझ में
गुफ़्तार-ए-दिलबराना किरदार-ए-क़ाहिराना

तेरी निगाह से दिल सीनों में काँपते थे
खोया गया है तेरा जज़्ब-ए-क़लंदराना

राज़-ए-हरम से शायद 'इक़बाल' बा-ख़बर है
हैं इस की गुफ़्तुगू के अंदाज़ महरमाना

Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 275