Umair Najmi Poetry

Top 20 most famous Shayari of Umair najmi


Top 20 most famous Shayari of Umair najmi

1- main baal baal bach gaya har baar ishq se
sar ke bahut qareeb se patthar guzar gaye

2- koi haseen badan jin ki dastaras mein nahin
yahi kaheinge ki kuchh faaeda havas mein nahin

3- kisi gali mein kiraye pe ghar liya usne
phir us gali mein gharo ke kiraye badhne lage

4- tujhe na aayengi muflis ki mushkilaat samajh
main chhote logon ke ghar ka bada hoon baat samajh

5- nazar mein rakhna kahi koi gham shanaas gaahak
mujhe sukhun bechna hai kharcha nikaalna hai

6- main kis se poochoon ye rasta durust hai ki galat
jahaan se koi guzarta nahin wahan hoon main

7- bhej deta hoon magar pehle bata doon tujh ko
mujh se milta nahin koi meri tasveer ke baad

8- main chahta tha mujhse bichhad kar vo khush rahe
lekin vo khush hua to bada dukh hua mujhe

9- sab intzaar mein the kab koi zabaan khule
phir uske hont khule aur sabke kaan khule

10- tumne chhodaa to kisi aur se takraaoonga. main
kaise mumkin hai ki andhe ka kahi sar na lage

11- yaar tasveer mein tanhaa hoon magar log mile
kai tasveer se pehle kai tasveer ke ba'ad

12- Shab basar karni hai, mehfooz thikana hai koi,
Koi jungle hai yahan paas mein? Sehra hai koi?

13- main ne mehnat se hatheli pe lakeeren kheenchin
vo jinhen kaatib-e-taqdeer nahin kheench saka

14- main ek kirdaar se bada tang hoon qalamkaar
mujhe kahaani mein daal gussa nikaalna hai

15- mere honton pe kisi lams ki khwaahish hai shadeed
aisa kuchh kar mujhe cigarette ko jalana na pade

16- kitaab-e-ishq mein har aah ek aayat hai
par aansuon ko huroof-e-muqattia'at samajh

17- mera haath pakad le paagal jungle hai
jitna bhi raushan ho jungle jungle hai

18- mujhe pehle pehal lagta tha zaati mas'ala hai
main phir samjha mohabbat qaaynaati mas'ala hai
parinde qaid hain tum chahchahaahat chahte ho
tumhein to achha khaasa nafsyaati mas'ala hai

19- tu uske dil mein jagah chahta hai yaar jo shakhs
kisi ko deta nahin apne saath waali jagah

20- bichhad gaye to ye dil umr bhar lagega nahin
lagega lagne laga hai magar lagega nahin
nahin lagega use dekh kar magar khush hai
main khush nahin hoon magar dekh kar lagega nahin
------------------------------------------------------
1- मैं बाल बाल बच गया हर बार इश्क़ से
सर के बहुत क़रीब से पत्थर गुज़र गए

2- कोई हसीन बदन जिन की दस्तरस में नहीं
यही कहेंगे कि कुछ फ़ाएदा हवस में नहीं

3- किसी गली में किराए पे घर लिया उसने
फिर उस गली में घरों के किराए बढ़ने लगे

4- तुझे न आएँगी मुफ़्लिस की मुश्किलात समझ
मैं छोटे लोगों के घर का बड़ा हूॅं बात समझ

5- नज़र में रखना कहीं कोई ग़म शनास गाहक
मुझे सुख़न बेचना है ख़र्चा निकालना है

6- मैं किस से पूछूँ ये रस्ता दुरुस्त है कि ग़लत
जहाँ से कोई गुज़रता नहीं वहाँ हूँ मैं

7- भेज देता हूँ मगर पहले बता दूँ तुझ को
मुझ से मिलता नहीं कोई मिरी तस्वीर के बाद

8- मैं चाहता था मुझसे बिछड़ कर वो ख़ुश रहे
लेकिन वो ख़ुश हुआ तो बड़ा दुख हुआ मुझे

9- सब इंतज़ार में थे कब कोई ज़बान खुले
फिर उसके होंठ खुले और सबके कान खुले

10- तुमने छोड़ा तो किसी और से टकराऊँगा मैं
कैसे मुमकिन है कि अंधे का कहीं सर न लगे

11- यार तस्वीर में तन्हा हूँ मगर लोग मिले
कई तस्वीर से पहले कई तस्वीर के बा'द

12- शब बसर करनी है, महफ़ूज़ ठिकाना है कोई
कोई जंगल है यहाँ पास में ? सहरा है कोई ?

13- मैं ने मेहनत से हथेली पे लकीरें खींचीं
वो जिन्हें कातिब-ए-तक़दीर नहीं खींच सका

14- मैं एक किरदार से बड़ा तंग हूँ क़लमकार
मुझे कहानी में डाल ग़ुस्सा निकालना है

15- मेरे होंटों पे किसी लम्स की ख़्वाहिश है शदीद
ऐसा कुछ कर मुझे सिगरेट को जलाना न पड़े

16- किताब-ए-इश्क़ में हर आह एक आयत है
पर आँसुओं को हुरूफ़‌‌‌‌-ए-मुक़त्तिआ'त समझ

17- मेरा हाथ पकड़ ले पागल, जंगल है
जितना भी रौशन हो जंगल, जंगल है

18- मुझे पहले पहल लगता था ज़ाती मस'अला है
मैं फिर समझा मोहब्बत क़ायनाती मस'अला है
परिंदे क़ैद हैं तुम चहचहाहट चाहते हो
तुम्हें तो अच्छा ख़ासा नफ़सयाती मस'अला है

19- तू उसके दिल में जगह चाहता है यार जो शख़्स
किसी को देता नहीं अपने साथ वाली जगह

20- बिछड़ गए तो ये दिल उम्र भर लगेगा नहीं
लगेगा लगने लगा है मगर लगेगा नहीं
नहीं लगेगा उसे देख कर मगर ख़ुश है
मैं ख़ुश नहीं हूँ मगर देख कर लगेगा नहीं

Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 522