Bashir Badr Poetry

Kahaan aansuon ki yeh saugaat hogi


Kahaan aansuon ki yeh saugaat hogi

Kahaan aansuon ki yeh saugaat hogi
Naye log honge, nai baat hogi

Main har haal mein muskurata rahunga
Tumhari mohabbat agar saath hogi

Chiragon ko aankhon mein mehfooz rakhna
Badi door tak raat hi raat hogi

Pareshan ho tum bhi, pareshan hoon main bhi
Chalo mai-kade mein, wahin baat hogi

Chiragon ki lau se, sitaron ki zau tak
Tumhein main milunga, jahan raat hogi

Jahan waadiyon mein naye phool aaye
Hamari tumhari mulaqaat hogi

Sadaon ko alfaaz milne na payen
Na baadal ghirenge, na barsaat hogi

Musafir hain hum bhi, musafir ho tum bhi
Kisi mod par phir mulaqaat hogi
------------------------------------
कहाँ आँसुओं की ये सौग़ात होगी
नए लोग होंगे नई बात होगी

मैं हर हाल में मुस्कुराता रहूँगा
तुम्हारी मोहब्बत अगर साथ होगी

चराग़ों को आँखों में महफ़ूज़ रखना
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

परेशां हो तुम भी परेशां हूँ मैं भी
चलो मय-कदे में वहीं बात होगी

चराग़ों की लौ से सितारों की ज़ौ तक
तुम्हें मैं मिलूँगा जहाँ रात होगी

जहाँ वादियों में नए फूल आए
हमारी तुम्हारी मुलाक़ात होगी

सदाओं को अल्फ़ाज़ मिलने न पाएँ
न बादल घिरेंगे न बरसात होगी

मुसाफ़िर हैं हम भी मुसाफ़िर हो तुम भी
किसी मोड़ पर फिर मुलाक़ात होगी

Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 317