Allama Iqbal Poetry

digar-goon hai jahaan taaron ki gardish tez hai saaqi


digar-goon hai jahaan taaron ki gardish tez hai saaqi

digar-goon hai jahaan taaron ki gardish tez hai saaqi
dil-e-har-zarra mein ghaaga-e-rusta-khez hai saaqi

mata-e-deen-o-daanish loot gai allah-waalon ki
ye kis kaafir-ada ka ghaza-e-khoon-rez hai saaqi

wahi deerina beemaari wahi na-mohkami dil ki
ilaaj is ka wahi aab-e-nashaat-angez hai saaqi

haram ke dil mein soz-e-aarzoo paida nahin hota
ki paidaai tiri ab tak hijaab-aamez hai saaqi

na utha phir koi roomi ajam ke laala-zaaro se
wahi aab-o-gil-e-eran wahi tabrez hai saaqi

nahin hai na-umeed iqbaal apni kisht-e-veeraan se
zara nam ho to ye mitti bahut zarkhez hai saaqi

faqeer-e-raah ko bakshe gaye asraar-e-sultaani
baha meri nava ki daulat-e-parvez hai saaqi
-----------------------------------------
दिगर-गूँ है जहाँ तारों की गर्दिश तेज़ है साक़ी
दिल-ए-हर-ज़र्रा में ग़ोग़ा-ए-रुस्ता-ख़े़ज़ है साक़ी

मता-ए-दीन-ओ-दानिश लुट गई अल्लाह-वालों की
ये किस काफ़िर-अदा का ग़म्ज़ा-ए-ख़ूँ-रेज़ है साक़ी

वही देरीना बीमारी वही ना-मोहकमी दिल की
इलाज इस का वही आब-ए-नशात-अंगेज़ है साक़ी

हरम के दिल में सोज़-ए-आरज़ू पैदा नहीं होता
कि पैदाई तिरी अब तक हिजाब-आमेज़ है साक़ी

न उट्ठा फिर कोई 'रूमी' अजम के लाला-ज़ारों से
वही आब-ओ-गिल-ए-ईराँ वही तबरेज़ है साक़ी

नहीं है ना-उमीद 'इक़बाल' अपनी किश्त-ए-वीराँ से
ज़रा नम हो तो ये मिट्टी बहुत ज़रख़ेज़ है साक़ी

फ़क़ीर-ए-राह को बख़्शे गए असरार-ए-सुल्तानी
बहा मेरी नवा की दौलत-ए-परवेज़ है साक़ी

Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 68