Ali Zaryoun Poetry

saaz taiyaar kar raha hoon main


saaz taiyaar kar raha hoon main

saaz taiyaar kar raha hoon main
aur khabardaar kar raha hoon main

tumko shaayad bura lage lekin
dekh ke pyaar kar raha hoon main

haan nahin chahiye ye taaj aur takht
saaf inkaar kar raha hoon main

koi jaakar use bata to de
jiska kirdaar kar raha hoon main

aaj se khud ko teri haalat se
dastbardaar kar raha hoon main

do jahaan mujhko mil rahe hain magar
tujh par israar kar raha hoon main 
------------------------
साज़ तैयार कर रहा हूँ मैं
और खबरदार कर रहा हूँ मैं

तुमको शायद बुरा लगे, लेकिन
देख के प्यार कर रहा हूँ मैं

हाँ! नहीं चाहिए ये ताज और तख़्त
साफ़ इन्कार कर रहा हूँ मैं

कोई जाकर उसे बता तो दे
जिसका किरदार कर रहा हूँ मैं

आज से, खुद को तेरी हालत से
दस्तबरदार कर रहा हूँ मैं

दो जहाँ मुझको मिल रहे हैं, मगर
तुझ पर इसरार कर रहा हूँ मैं

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 60